الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يوم يكشف عن ساق} :
Bab: Ayat ki tafseer“yani woh din yaad karo jab pindli kholi jayegi”.
Hadith Number: 4919
حدثنا آدم، حدثنا الليث، عن خالد بن يزيد، عن سعيد بن ابي هلال، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" يكشف ربنا عن ساقه، فيسجد له كل مؤمن ومؤمنة، فيبقى كل من كان يسجد في الدنيا رياء وسمعة، فيذهب ليسجد، فيعود ظهره طبقا واحدا".
Hum se Adam ne byaan kiya, kaha hum se Layth ne byaan kiya, in se Khalid bin Yazid ne, un se Saeed bin Abi Hilal ne, un se Zayd bin Aslam ne, un se Ata bin Yasar aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke hamara Rabb Qayamat ke din apni pindli khole ga is waqt har momin mard aur har momina aurat is ke liye sajda mein gir parrein ge. Sirf woh baqi reh jayein ge jo duniya mein dikhawe aur namwari ke liye sajda karte thay. Jab woh sajda karna chahein ge to un ki peeth takhta ho jaye gi aur woh sajda ke liye na murr sakein ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 22
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يدخل اهل الجنة الجنة، واهل النار النار، ثم يقول الله تعالى: اخرجوا من كان في قلبه مثقال حبة من خردل من إيمان، فيخرجون منها قد اسودوا، فيلقون في نهر الحيا او الحياة شك مالك فينبتون كما تنبت الحبة في جانب السيل، الم تر انها تخرج صفراء ملتوية"، قال وهيب: حدثنا عمرو الحياة، وقال: خردل من خير.
Hum se Ismail ne yeh Hadees bayan ki, woh kehte hain un se Maalik ne, woh Amr bin Yahya Al-Maazini se naql karte hain, woh apne baap se riwayat karte hain aur woh Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu aur woh Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jab jannati jannat mein aur dozakhi dozakh mein daakhil ho jaayenge. Allah paak farmaayega, jis ke dil mein raayi ke daane ke barabar (bhi) imaan ho, us ko bhi dozakh se nikaal lo. Tab (aise log) dozakh se nikaal liye jaayenge aur woh jal kar koile ki tarah siyaah ho chuke honge. Phir zindagi ki nehar mein ya baarish ke paani mein daale jaayenge. (Yahan rawi ko shak ho gaya hai ke upar ke rawi ne kaun sa lafz istemaal kiya) us waqt woh daane ki tarah ug aayenge jis tarah nadi ke kinaare daane ug aate hain. Kya tum ne nahi dekha ke daana zardi maail pech-dar-pech nikalta hai. Wuhaib ne kaha ke hum se Amr ne ( «حياء» ki bajaaye) «حياة» , aur ( «خَرْدَلٍ مِنْ إِيمَانٍ») ki bajaaye ( «خَرْدَلٍ مِنْ خَيْرٍ») ka lafz bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة