الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {وآخرين منهم لما يلحقوا بهم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur doosron ke liye bhi un mein se (Aap ko bheja) jo abhi un mein shaamil nahi hue hain”.
Hadith Number: 4897
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان بن بلال، عن ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كنا جلوسا عند النبي صلى الله عليه وسلم، فانزلت عليه سورة الجمعة وآخرين منهم لما يلحقوا بهم، قال: قلت: من هم يا رسول الله، فلم يراجعه حتى سال ثلاثا، وفينا سلمان الفارسي، وضع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده على سلمان، ثم قال:" لو كان الإيمان عند الثريا لناله رجال او رجل من هؤلاء".
Mujh se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya, kaha ke mujh se Sulayman bin Hilal ne byaan kiya, un se Sawr ne, un se Abu al-Ghais Salim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas baithe huay thay ke Surah al-Jumu'ah ki yeh aayatein nazil huien «wa aakhareena minhum lamma yalhaqoo bihim» al-aayat aur doosron ke liye bhi jo abhi in mein shamil nahi huay hain. (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam haadi aur mualim hain) byaan kiya main ne arz ki ya Rasool Allah! Yeh doosre kaun log hain? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab nahi diya. Aakhir yahi sawal teen martaba kiya. Majlis mein Salman Farsi razi Allahu anhu bhi maujood thay Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un par hath rakh kar farmaya agar iman Surayya par bhi ho ga tab bhi in logon (yani Faaris walon) mein se is tak pahunch jayein ge ya yun farmaya ke ek aadmi in logon mein se is tak pahunch jaye ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4898
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا عبد العزيز، اخبرني ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم لناله رجال من هؤلاء.
Hum se Abdul Aziz bin Abdul Wahhab ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz ne byaan kiya, unhein Sawr ne aur un se Abu al-Ghais ne, unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ke un ki qaum ke kuch log usay pa lein ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة