الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 4882
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، حدثنا سعيد بن سليمان، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس:" سورة التوبة، قال: التوبة هي الفاضحة ما زالت تنزل ومنهم ومنهم حتى ظنوا انها لن تبقي احدا منهم إلا ذكر فيها، قال: قلت: سورة الانفال، قال: نزلت في بدر، قال: قلت: سورة الحشر، قال: نزلت في بني النضير".
Hum se Muhammad bin Abdur Raheem ne byaan kiya, kaha hum se Saeed bin Sulayman ne byaan kiya, kaha hum se Hushaym ne byaan kiya, kaha hum ko Abu Bishr Jafar ne khabar di, un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se Surah at-Tauba ke mutalliq poocha to unhon ne kaha yeh Surah at-Tauba hai ya fazeehat karne wali hai is surat mein barabar yahi utarta raha baaz log aise hain aur baaz log aise hain yahan tak ke logon ko guman hua yeh surat kisi ka kuch bhi nahi chhore gi balkay sab ke bhed khol de gi. Byaan kiya ke main ne Surah al-Anfaal ke mutalliq poocha to farmaya ke yeh Jang e Badr ke baare mein nazil hui thi. Byaan kiya ke main ne Surah al-Hashr ke mutalliq poocha to farmaya ke qabila Banu Nadheer ke Yahud ke baare mein nazil hui thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4029
حدثني الحسن بن مدرك، حدثنا يحيى بن حماد، اخبرنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، قال: قلت: لابن عباس:سورة الحشر، قال:" قل سورة النضير". تابعه هشيم، عن ابي بشر.
Mujh se Hasan Bin Mudrik ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Hammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abu Awana ne khabar di, unhein Abu Bishr ne, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke samne kaha, ”Surah Al-Hashr“ to unhon ne kaha ke ise ”Surah Nazir“ kaho (kyunke ye surat Banu Nazir hi ke bare mein nazil hui hai) is riwayat ki mutabiat Hushaim se Abu Bishr ne ki hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة