الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إذ يبايعونك تحت الشجرة} :
Bab: Ayat ki tafseer“Woh waqt yaad karo jab ke woh darakht ke neeche Aap ke haath par bay’at kar rahe the”.
Show diacritics
Hadith Number: 4840
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن جابر، قال:" كنا يوم الحديبية الفا واربع مائة".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Amr ne aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Sulah Hudaybiyah ke mauqa par lashkar mein hum (Musalman) ek hazar char sau thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3576
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا حصين، عن سالم بن ابي الجعد، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" عطش الناس يوم الحديبية والنبي صلى الله عليه وسلم بين يديه ركوة فتوضا، فجهش الناس نحوه، فقال: ما لكم، قالوا: ليس عندنا ماء نتوضا ولا نشرب إلا ما بين يديك فوضع يده في الركوة فجعل الماء يثور بين اصابعه كامثال العيون فشربنا وتوضانا، قلت: كم كنتم؟ قال، لو كنا مائة الف لكفانا كنا خمس عشرة مائة".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya, un se Husain ne bayan kiya, un se Salim bin Abi al-Ja'd ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Sulh-e-Hudaibiyah ke din logon ko pyaas lagi hui thi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke samne ek chhaagal rakha hua tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya kya baat hai? Logon ne kaha ke jo pani Aap ke samne hai, is pani ke siwa na to hamare pas wudhu ke liye koi doosra pani hai aur na peene ke liye. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna hath chhaagal mein rakh diya aur pani Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ungliyon ke darmiyan mein se chashme ki tarah phootne laga aur hum sab logon ne is pani ko piya bhi aur is se wudhu bhi kiya. Mein ne poocha Aap log kitni tadad mein thay? Kaha ke agar hum ek lakh bhi hote to woh pani kafi hota. Waise hamari tadad is waqt pandrah so thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة