الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وما كنتم تستترون أن يشهد عليكم سمعكم ولا أبصاركم ولا جلودكم ولكن ظننتم أن الله لا يعلم كثيرا مما تعملون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte the ke tumhare khilaf tumhare kaan, tumhari aankhen aur tumhari jildein gawahi dengi, balkeh tumhein to ye khayal tha ke Allah ko bohot si un cheezon ki khabar hi nahi hai jinhen tum karte rahe”.
Hadith Number: 4816
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا يزيد بن زريع، عن روح بن القاسم، عن منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن ابن مسعود، وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم سورة فصلت آية 22 الآية، قال:" كان رجلان من قريش وختن لهما من ثقيف او رجلان من ثقيف وختن لهما من قريش في بيت، فقال بعضهم لبعض: اترون ان الله يسمع حديثنا، قال بعضهم: يسمع بعضه، وقال بعضهم: لئن كان يسمع بعضه لقد يسمع كله، فانزلت: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم سورة فصلت آية 22 الآية".
Hum se Salt bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , un se Rauh bin Qasim ne , un se Mujahid ne , un se Abu Mamar ne aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne aayat «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum» ”aur tum is baat se apne ko chhupa nahi sakte thay ke tumhare kaan gawahi dein ge .“ al-kh ke mutalliq kaha ke Quraysh ke do aadmi aur biwi ki taraf se un ke qabila Saqeef ka koi rishta-dar ya Saqeef ke do afraad thay aur biwi ki taraf Quraysh ka koi rishta-dar , yeh Khana Kaaba ke paas baithe huay thay in mein se baaz ne kaha ke kya tumhara khayal hai ke Allah Ta'ala hamari baatein sunta ho ga ek ne kaha ke baaz baatein sunta hai . Doosre ne kaha ke agar baaz baatein sun sakta hai to sab sunta ho ga . Is par yeh aayat nazil hui «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum wa la absaarukum» ”aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte ke tumhare khilaf tumhare kaan aur tumhari aankhein gawahi dein gi .“ Aakhir aayat «wa zhalikum zhannukum» tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4817
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" اجتمع عند البيت قرشيان وثقفي او ثقفيان وقرشي كثيرة شحم بطونهم قليلة فقه قلوبهم، فقال احدهم: اترون ان الله يسمع ما نقول، قال الآخر: يسمع إن جهرنا، ولا يسمع إن اخفينا، وقال الآخر: إن كان يسمع إذا جهرنا، فإنه يسمع إذا اخفينا، فانزل الله عز وجل: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم ولا جلودكم سورة فصلت آية 22 الآية"، وكان سفيان يحدثنا بهذا، فيقول: حدثنا منصور، او ابن ابي نجيح، او حميد احدهم، او اثنان منهم، ثم ثبت على منصور، وترك ذلك مرارا غير مرة واحدة،
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mujahid ne byaan kiya , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Khana Kaaba ke paas do Qurayshi aur ek Saqafi ya ek Qurayshi aur do Saqafi mard baithe huay thay . Un ke pait bahut mote thay lekin aqal se kore . Ek ne in mein se kaha , tumhara kya khayal hai kya Allah hamari baaton ko sun raha hai ? Doosre ne kaha agar hum zor se bolein to sunta hai lekin aahista bolein to nahi sunta . Teesre ne kaha agar Allah zor se bolne par sun sakta hai to aahista bolne pe bhi zaroor sunta ho ga . Is par yeh aayat utri «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum wa la absaarukum wa la juloodukum» ke ”aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte ke tumhare kaan aur tumhari aankhein aur tumhare chamre gawahi dein ge .“ Aakhir aayat tak . Sufyan hum se yeh hadees byaan karte thay aur kaha ke hum se Mansoor ne ya Ibn Najeeh ne ya Humayd ne in mein se kisi ek ne ya kisi do ne yeh hadees byaan ki , phir Aap Mansoor hi ka zikr karte thay aur doosron ka zikr ek se zyada martaba nahi kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7521
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" اجتمع عند البيت ثقفيان، وقرشي، او قرشيان، وثقفي كثيرة شحم بطونهم قليلة فقه قلوبهم، فقال احدهم: اترون ان الله يسمع ما نقول؟، قال الآخر: يسمع إن جهرنا ولا يسمع إن اخفينا، وقال الآخر: إن كان يسمع إذا جهرنا فإنه يسمع إذا اخفينا، فانزل الله تعالى: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم ولا جلودكم سورة فصلت آية 22.
Hum se Humaydi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , unhon ne kaha hamase Mansoor ne bayan kiya , in se Mujahid ne bayan kiya , in se Abu Mamar ne bayan kiya aur in se Abdullah razi Allahu anhune bayan kiya ke Khana e Kaba ke paas do Saqafi aur ek Quraishi ya (yeh kaha ke) do Quraishi aur ek Saqafi jama huay jin ke pait ki charbi bahut ku (tound bari ku) aur jin mein soojh-boojh ki bari kami ku . In mein ek ne kaha ke tumhara khayal hai ke Allah woh sab kuch sunta hai jo hum kehte hain . Doosre ne kaha ke jab hum zor se bolte hain to sunta hai lekin agar hum aahista bolein to nahi sunta . Is par Allahne yeh aayat nazil ki «wa maa kuntum tas-tat-tiroona ay-yash-hada alaikum sam-ukum wa laaa absaarukum wa laa juloodukum» ”tum jo duniya mein chhup kar gunah karte thay to is dar se nahi ke tere kaan tumhari aankhein aur tumhare chamre tumhare khilaf Qayamat ke din gawahi dein ge“ aakhir tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة