الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {إن الله عنده علم الساعة} :
Bab: Ayat ki tafseer“Qiyamat (ke waqoo hone ki tareekh) ki khabar sirf Allah paak hi ko hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4778
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: حدثني عمر بن محمد بن زيد بن عبد الله بن عمر، ان اباه حدثه، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" مفاتيح الغيب خمس: ثم قرا: إن الله عنده علم الساعة سورة لقمان آية 34".
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibn Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujh se Amr bin Muhammad bin Abdullah bin Umar ne byaan kiya , un se un ke walid ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaib ki kunjiyan paanch hain . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «innallaha indahu ilmus-saati» ”beshak Allah hi ko Qayamat ka ilm hai aur wahi barish nazil karta hai aur wahi jaanta hai ke mada ke raham mein nar hai ya mada aur koi nafs nahi jaanta ke woh kal kya kare ga aur koi nahi jaanta ke woh kahan mare ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1039
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"مفتاح الغيب خمس لا يعلمها إلا الله، لا يعلم احد ما يكون في غد، ولا يعلم احد ما يكون في الارحام، ولا تعلم نفس ماذا تكسب غدا، وما تدري نفس باي ارض تموت، وما يدري احد متى يجيء المطر".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Dinar ne byaan kiya , aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaib ki paanch kunjiyan hain jinhein Allah Ta'ala ke siwa aur koi nahi jaanta . Kisi ko nahi maloom ke kal kya hone wala hai , koi nahi jaanta ke maan ke pait mein kya hai , kal kya karna hoga , is ka kisi ko ilm nahi . Na koi yeh jaanta hai ke ise maut kis jagah aayegi aur na kisi ko yeh maloom ke barish kab hogi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4627
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" مفاتح الغيب خمس: إن الله عنده علم الساعة، وينزل الغيث، ويعلم ما في الارحام، وما تدري نفس ماذا تكسب غدا وما تدري نفس باي ارض تموت إن الله عليم خبير سورة لقمان آية 34".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Salim bin Abdullah ne aur un se un ke walid (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaib ke khazane paanch hain . Jaisa ke irshad e Baari hai . Beshak Allah hi ko Qayamat ki khabar hai aur wahi jaanta hai ke rahmon mein kya hai aur koi bhi nahi jaan sakta ke woh kal kya amal kare ga aur na koi yeh jaan sakta hai ke woh kis zameen par mare ga , beshak Allah hi ilm wala hai , khabar rakhne wala hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4697
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا معن، قال: حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" مفاتح الغيب خمس لا يعلمها إلا الله: لا يعلم ما في غد إلا الله، ولا يعلم ما تغيض الارحام إلا الله، ولا يعلم متى ياتي المطر احد إلا الله، ولا تدري نفس باي ارض تموت، ولا يعلم متى تقوم الساعة إلا الله".
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Maan bin Esa ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya , un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaib ki paanch kunjiyan hain jinhein Allah ke siwa koi nahi jaanta . Allah ke siwa koi nahi jaanta ke kal kya hone wala hai , Allah ke siwa koi nahi jaanta ke auraton ke raham mein kya kami beshi hoti rehti hai , Allah ke siwa koi nahi jaanta ke barish kab barse gi , koi shakhs nahi jaanta ke is ki maut kahan ho gi aur Allah ke siwa koi nahi jaanta ke Qayamat kab qaim ho gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7379
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، حدثني عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مفاتيح الغيب خمس لا يعلمها إلا الله: لا يعلم ما تغيض الارحام إلا الله، ولا يعلم ما في غد إلا الله، ولا يعلم متى ياتي المطر احد إلا الله، ولا تدري نفس باي ارض تموت إلا الله، ولا يعلم متى تقوم الساعة إلا الله".
Hum se Khalid bin Makhlad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ghayb ki paanch kunjiyan hain, jinhein Allahke siwa aur koi nahi jaanta. Allah ke siwa aur koi nahi jaanta ke raham e madar mein kiya hai, Allah ke siwa aur koi nahi jaanta ke kal kiya ho ga, Allah ke siwa aur koi nahi jaanta ke baarish kab aaye gi, Allah ke siwa aur koi nahi jaanta ke kis jagah koi mare ga aur Allahke siwa koi nahi jaanta ke Qayamat kab qaim ho gi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة