الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إذ تلقونه بألسنتكم وتقولون بأفواهكم ما ليس لكم به علم وتحسبونه هينا وهو عند الله عظيم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Allah ka bara bhaari azab to tum ko us waqt pakarta jab tum apni zubanon se tuhmat ko munh dar munh bayan kar rahe the aur apni zubanon se woh kuch keh rahe the jis ki tumhein koi tahqeeq na thi aur tum ise halka samajh rahe the, halaanke woh Allah ke nazdeek bohot bari baat thi”.
Hadith Number: 4752
حدثنا إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال ابن ابي مليكة: سمعت عائشة تقرا:" 0 إذ تلقونه بالسنتكم 0 4".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Yusuf ne byaan kiya , unhein Ibn Jurayj ne khabar di ke Ibn Abi Mulaykah ne kaha ke main ne Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha se suna woh mazkoora bala aayat «izh talaqqawnahu bi-alsinatikum» (jab tum apni zabanon se usay munh dar munh naqal kar rahe thay) parh rahi thien .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4144
حدثني يحيى , حدثنا وكيع , عن نافع بن عمر , عن ابن ابي مليكة , عن عائشة رضي الله عنها:" كانت تقرا إذ تلقونه بالسنتكم سورة النور آية 15 وتقول الولق الكذب. قال ابن ابي مليكة: وكانت اعلم من غيرها بذلك لانه نزل فيها.
Mujh se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya ‘ kaha hum se Wakee ne bayan kiya ‘ in se Nafi Bin Umar ne ‘ in se Ibn Abi Malika ne ke Aisha Radi Allahu Anha (Surah Al-Noor ki ayat mein) qirat «iz talaqqaunahu bialsinatikum» karti thin aur (is ki tafseer mein) farmati thin ke «al-walqu» jhoot ke mani mein hai. Ibn Abi Malika ne bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha in ayitein ko dusron se zyada jaanti thin kyunke wo khas in hi ke baab mein utri thin
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة