الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب الاستلقاء فى المسجد ومد الرجل:
Bab: Masjid mein chit letna kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 475
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن عباد بن تميم، عن عمه،" انه راى رسول الله صلى الله عليه وسلم مستلقيا في المسجد واضعا إحدى رجليه على الاخرى"، وعن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، قال: كان عمر وعثمان يفعلان ذلك.
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik ke wastay se , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne Abbad bin Tamim se , unhon ne apne chacha Abdullah bin Zaid bin Aasim Mazni raziyallahu anhu se ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko chit lete hue dekha . Aap salla Allahu alaihi wa sallam apna ek paon doosre par rakhe hue thay . Ibn Shihab Zuhri se marwi hai , woh Saeed bin Musayyab se riwayat karte hain ke Umar aur Usman raziyallahu anhuma bhi isi tarah lete thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5969
حدثنا احمد بن يونس حدثنا إبراهيم بن سعد حدثنا ابن شهاب عن عباد بن تميم عن عمه انه ابصر النبي صلى الله عليه وسلم يضطجع في المسجد، رافعا إحدى رجليه على الاخرى.
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Ubadah bin Tameem ne, in se un ke chacha (Abdullah bin Zayd Ansari razi Allahu anhu) ne ke unhon ne Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ko masjid mein (chit) laite huay dekha ke Aap ek paon ko doosre paon par utha kar rakkhe huay thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6287
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عباد بن تميم، عن عمه، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم في المسجد مستلقيا واضعا إحدى رجليه على الاخرى".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , kaha hum se Zuhri ne bayan kiya , kaha ke mujhe Ubadah bin Tameem ne khabar di , in se un ke chacha ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko masjid mein chit laite dekha Aap ek paon doosre par rakkhe huay thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة