الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله عز وجل: {ونرثه ما يقول ويأتينا فردا} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur us ki kahi hui baaton ke hum hi waris hain aur woh hamare paas tanha aaye ga”.
Hadith Number: 4735
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت رجلا قينا، وكان لي على العاص بن وائل دين، فاتيته اتقاضاه، فقال لي: لا اقضيك حتى تكفر بمحمد، قال: قلت: لن اكفر به حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لمبعوث من بعد الموت، فسوف اقضيك إذا رجعت إلى مال وولد، قال: فنزلت افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} كلا سنكتب ما يقول ونمد له من العذاب مدا {79} ونرثه ما يقول وياتينا فردا {80} سورة مريم آية 77-80".
Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Khabbab bin Aratt ne byaan kiya ke main pehle lohaar tha aur Aas bin Wa'il par mera qarz chahiye tha . Main is ke paas taqaza karne gaya to kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se na phir jao ge tumhara qarz nahi doon ga , main ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke deen se hargiz nahi phiroon ga . Yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir zinda kar de . Is ne kaha kya maut ke baad main dobara zinda kiya jaoon ga phir to mujhe maal o aulad bhi mil jayein ge aur isi waqt tumhara qarz bhi ada kar doon ga . Rawi ne byaan kiya ke is ke mutalliq aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan * attala'al ghayba amittakhazha indar-rahmaani ahdan * kalla sanaktubu ma yaqoolu wa namuddu lahu minal azhaabi maddan * wa narisuhu ma yaqoolu wa ya'teena fardan» ke ”bhala tum ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton ka inkar karta hai aur kehta hai ke mujhe to maal aur aulad mil kar rahein ge , to kya yeh ghaib par aagah ho gaya hai . Ya is ne Khuday-e-Rahman se koi ahad kar liya hai ? Hargiz nahi , albatta hum is ka kaha hua bhi likh lete hain aur is ke liye azab barhate hi chale jayein ge aur is ki kahi hui ke hum hi malik hon ge aur woh hamare paas akela aaye ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2091
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا في الجاهلية، وكان لي على العاص بن وائل دين فاتيته، اتقاضاه؟ قال: لا، اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقلت: لا اكفر حتى يميتك الله، ثم تبعث، قال: دعني حتى اموت وابعث، فساوتى مالا وولدا فاقضيك، فنزلت: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} سورة مريم آية 77-78".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Muhammad Bin Abi Adi ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Suleiman ne, un se Abu-al-Zuha ne, un se Masrooq ne aur un se Khabbab Bin Art (Radi Allahu Anhu) ne ke jahiliyat ke zamana mein mein lohar ka kaam kiya karta tha. Aas Bin Wail (kafir) par mera kuch qarz tha mein ek din is par taqaza karne gaya. Is ne kaha ke jab tak tu Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka inkar nahi kare ga mein tera qarz nahi doon ga. Mein ne jawab diya ke mein Aap ka inkar is waqt tak nahi karoon ga jab tak Allah Ta'ala teri jaan na le le, phir tu dobara utthaya jaye, is ne kaha ke phir mujhe bhi muhlat de ke mein mar jaoon, phir dobara utthaya jaoon aur mujhe mal aur aulad mile is waqt mein bhi tumhara qarz ada kar doon ga. Is par ayat nazil hui «Afara'aytal-ladhee kafara bi-ayatina wa-qala la-ootayanna malan-wa-walada * attala'al-ghaiba amit-takhadha indar-rahmani ahda» ”Kya tum ne is shakhs ko dekha jis ne hamari ayay ko na mana aur kaha (aakhirat mein) mujhe mal aur daulat di jaye gi, kya usay ghaib ki khabar hai ? ya us ne Allah Ta'ala ke han se koi iqrar le liya hai.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4732
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: سمعت خبابا، قال:" جئت العاص بن وائل السهمي اتقاضاه حقا لي عنده، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقلت: لا، حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لميت، ثم مبعوث، قلت: نعم، قال: إن لي هناك مالا وولدا، فاقضيكه، فنزلت هذه الآية افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".رواه الثوري، وشعبة، وحفص، وابو معاوية، ووكيع، عن الاعمش.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha (Muslim bin Sabeeh) ne , un se Masrooq bin Ajda ne byaan kiya ke main ne Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha ke main Aas bin Wa'il Sahmi ke paas apna haq maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se kufr nahi karo ge main tumhein mazdoori nahi doon ga . Main ne is par kaha ke yeh kabhi nahi kar sakta . Yahan tak ke tum marne ke baad phir zinda kiye jao . Is par woh bola , kya marne ke baad phir mujhe zinda kiya jaye ga ? Main ne kaha haan , zaroor , kehne laga ke phir wahan bhi mere paas maal aulad ho gi aur main wahin tumhari mazdoori bhi de doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» ke ”bhala Aap ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari nishaniyon se kufr karta hai aur kehta hai ke mujhe maal aur aulad mil kar rahein ge .“ Is hadees ko Sufyan Sawri aur Shubah aur Hafs aur Abu Muawiyah aur Waki ne bhi Aamash se riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4733
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا بمكة، فعملت للعاص بن وائل السهمي سيفا، فجئت اتقاضاه، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد، قلت: لا اكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم حتى يميتك الله، ثم يحييك، قال: إذا اماتني الله، ثم بعثني ولي مال وولد، فانزل الله افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} سورة مريم آية 77-78"، قال: موثقا، لم يقل الاشجعي، عن سفيان سيفا، ولا موثقا.
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di , unhein Aamash ne , unhein Abu al-Duha ne , unhein Masrooq ne aur un se Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Makkah mein lohaar tha aur Aas bin Wa'il Sahmi ke liye main ne ek talwar banayi thi . Meri mazdoori baqi thi is liye ek din main is ko maangne aaya to kehne laga ke is waqt tak nahi doon ga jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se phir nahi jao ge . Main ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hargiz nahi phiroon ga yahan tak ke Allah tujhe maar de aur phir zinda kar de aur woh kehne laga ke jab Allah Ta'ala mujhe maar kar dobara zinda kar de ga to mere paas is waqt bhi maal o aulad ho gi . Aur isi waqt tum apni mazdoori mujh se le lena . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan * attala'al ghayba amittakhazha indar-rahmaani ahdan» ke ”bhala tu ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton ka inkar karta hai aur kehta hai ke mujhe to maal o aulad mil kar hi rahein ge to kya yeh ghaib par muttala ho gaya hai ya is ne Khuday-e-Rahman se koi waada le liya hai .“ «ahdun» ka maani mazboot iqrar . Ubaydullah Ashjai ne bhi is hadees ko Sufyan Sawri se riwayat kiya hai lekin is mein talwar banane ka zikr nahi hai na ahad ki tafseer mazkoor hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4734
حدثنا بشر بن خالد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سليمان، سمعت ابا الضحى يحدث، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا في الجاهلية، وكان لي دين على العاص بن وائل، قال: فاتاه يتقاضاه، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقال: والله لا اكفر حتى يميتك الله، ثم يبعثك، قال: فذرني حتى اموت، ثم ابعث، فسوف اوتى مالا وولدا، فاقضيك، فنزلت هذه الآية: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Sulayman Aamash ne , unhon ne Abu al-Duha se suna , un se Masrooq ne byaan kiya ke Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main zamana e jahiliyat mein lohari ka kaam karta tha aur Aas bin Wa'il par mera kuch qarz tha . Byaan kiya ke main is ke paas apna qarz maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi karte , tumhari mazdoori nahi mil sakti . Main ne is par jawab diya ke Allah ki qasam! Main hargiz Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi kar sakta , yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir tujhe dobara zinda kar de . Aas kehne laga ke phir marne tak mujh se qarz na maango . Marne ke baad jab main zinda rahoon ga to mujhe maal o aulad bhi milein ge aur is waqt tumhara qarz ada kar doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» al-kh .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة