الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {قل ادعوا الذين زعمتم من دونه فلا يملكون كشف الضر عنكم ولا تحويلا} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aap kahiye tum jin ko Allah ke siwa ma’bood qaraar de rahe ho, zara un ko pukaro to sahi, so na woh tumhari koi takleef hi door kar sakte hain aur na woh (ise) badal hi sakte hain”.
Hadith Number: 4714
حدثني عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان، حدثني سليمان، عن إبراهيم، عن ابي معمر، عن عبد الله إلى ربهم الوسيلة سورة الإسراء آية 57، قال:" كان ناس من الإنس يعبدون ناسا من الجن، فاسلم الجن، وتمسك هؤلاء بدينهم". زاد الاشجعي، عن سفيان، عن الاعمش، قل ادعوا الذين زعمتم سورة الإسراء آية 56.
Mujh se Amr bin Ali bin Fallas ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne kaha hum se Sufyan ne , kaha mujh se Sulayman Aamash ne byaan kiya , un se Ibrahim Nakhai ne , un se Abdullah bin Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne (aayat) «ila rabbihimul waseelatu» ka shaan e nuzool yeh hai ke kuch log jinon ki ibadat karte thay , lekin woh jinn baad mein Musalman ho gaye aur yeh mushrik (kam-bakht) unhi ki parastish karte jahili shariat par qaim rahe . Ubaydullah Ashjai ne is hadees ko Sufyan se riwayat kiya aur un se Aamash ne byaan kiya , is mein yun hai ke is aayat «qulid-u-llazhina zaamtum» ka shaan e nuzool yeh hai aakhir tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4715
حدثنا بشر بن خالد، اخبرنا محمد بن جعفر، عن شعبة، عن سليمان، عن إبراهيم، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، في هذه الآية الذين يدعون يبتغون إلى ربهم الوسيلة سورة الإسراء آية 57، قال:" كان ناس من الجن يعبدون فاسلموا".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Sulayman Aamash ne , unhein Ibrahim Nakhai ne , unhein Abu Mamar ne aur unhein Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne aayat «allazhina yad-u-na yabtaghoona ila rabbihimul waseelatu» ki tafseer mein kaha ke kuch jinn aise thay jin ki aadmi parastish kiya karte thay phir woh jinn Musalman ho gaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة