الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله عز وجل: {يوم يحمى عليها فى نار جهنم فتكوى بها جباههم وجنوبهم وظهورهم هذا ما كنزتم لأنفسكم فذوقوا ما كنتم تكنزون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Us din ko yaad karo jis din (sone chandi) ko dozakh ki aag mein tapaya jayega, phir us se (jinhon ne is khazane ki zakat nahi ada ki) un ki peshaniyon ko aur un ke pehluon ko aur un ki pushton ko daagha jayega. (Aur un se kaha jayega) yahi hai woh maal jise tum ne apne waste jama kar rakha tha so ab apne jama karne ka maza chako”.
Show diacritics
Hadith Number: 4661
وقال احمد بن شبيب بن سعيد: حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم، قال: خرجنا مع عبد الله بن عمر، فقال: هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال.
Ahmad bin Shabib bin Saeed ne kaha ke hum se mere walid (Shabib bin Saeed) ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Khalid bin Aslam ne ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath niklay to unhon ne kaha ke yeh (mazkoora bala aayat) zakat ke hukm se pehle nazil hui thi . Phir jab zakat ka hukm ho gaya to Allah Ta'ala ne zakat se maalon ko paak kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1404
وقال احمد بن شبيب بن سعيد، حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم , قال:" خرجنا مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، فقال اعرابي: اخبرني عن قول الله: والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله سورة التوبة آية 34، قال ابن عمررضي الله عنهما: من كنزها فلم يؤد زكاتها فويل له، إنما كان هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال".
Hum se Ahmad bin Shabeeb bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se mere walid Shabeeb ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yunus ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ un se Khalid bin Aslam ne ‘ unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath kahin ja rahe thay . Ek aarabi ne Aap se poocha ke mujhe Allah Ta'ala ke is farmaan ki tafseer batlayiye ”jo log sone aur chandi ka khazana bana kar rakhte hain .“ Ibn Umar razi Allahu anhuma ne is ka jawab diya ke agar kisi ne sona chandi jama kiya aur is ki zakat na di to us ke liye «wayl» (kharabi) hai . Yeh hukm zakat ke ahkaam nazil hone se pehle tha lekin jab Allah Ta'ala ne zakat ka hukm nazil kar diya to ab wahi zakat maal o daulat ko paak kar dene wali hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة