الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {براءة من الله ورسوله إلى الذين عاهدتم من المشركين} :
Bab: Ayat ki tafseer“I’laan-e-barat hai Allah aur us ke Rasool ki taraf se un mushrikeen se jin se tum ne ahd kar rakha hai (aur ab ahd ko unhon ne tor diya hai)”.
Hadith Number: 4654
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" آخر آية نزلت يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176، وآخر سورة نزلت براءة".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna . Unhon ne kaha ke sab se aakhir mein yeh aayat nazil hui thi «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» aur sab se aakhir mein Surah Baraat nazil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4364
حدثني عبد الله بن رجاء، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" آخر سورة نزلت كاملة براءة، وآخر سورة نزلت خاتمة سورة النساء: يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176".
Mujh se Abdullah bin Rajaa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke sab se aakhri Surah jo poori utri woh Surah Baraat (Tauba) thi aur aakhri aayat jo utri woh Surah Nisa ki yeh aayat hai «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة