الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يا أيها الذين آمنوا استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم لما يحييكم واعلموا أن الله يحول بين المرء وقلبه وأنه إليه تحشرون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! Allah aur Rasool ki awaz par labbaik kaho jabke woh Rasool tum ko tumhari zindagi bakhshne wali cheez ki taraf bulayen aur jaan lo ke Allah ha’il ho jata hai insaan aur us ke dil ke darmiyan aur ye ke tum sab ko usi ke paas ikattha hona hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4647
حدثني إسحاق، اخبرنا روح، حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، سمعت حفص بن عاصم، يحدث عن ابي سعيد بن المعلى رضي الله عنه، قال: كنت اصلي، فمر بي رسول الله صلى الله عليه وسلم فدعاني، فلم آته حتى صليت، ثم اتيته، فقال:" ما منعك ان تاتي، الم يقل الله: يايها الذين آمنوا استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم سورة الانفال آية 24؟" ثم قال:" لاعلمنك اعظم سورة في القرآن قبل ان اخرج"، فذهب رسول الله صلى الله عليه وسلم ليخرج، فذكرت له، وقال معاذ: حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، سمع حفصا، سمع ابا سعيد رجلا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم بهذا، وقال: هي" الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2 السبع المثاني".
Mujh se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum ko Rauh bin Ubadah ne khabar di , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Khubayb bin Abdur Rahman ne unhon ne Hafs bin Aasim se suna aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main namaz parh raha tha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe pukara . Main Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein na pahunch saka balkay namaz se farigh hone ke baad hazir hua . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke aane mein der kyun hui ? Kya Allah Ta'ala ne tumhein hukm nahi diya hai «ya ayyuhallazhina aamanu-stajeeboo lillahi wa lirrahooli izha daakum» ke ”Ae ایمin والو! Allah aur us ke Rasool ki aawaz par labbaik kaho , jabke woh (yani Rasool) tum ko bulayein .“ Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke masjid se nikalne se pehle main tumhein Quran ki azeem tareen Surat sikhaoon ga . Thori der baad Aap bahar tashreef le jaane lage to main ne Aap ko yaad dilaya . Aur Maaz bin Maaz Anbari ne is hadees ko yun riwayat kiya ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Khubayb ne , unhon ne Hafs se suna aur unhon ne Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabi thay , suna aur unhon ne byaan kiya woh (Surah Fatiha) «alhamdu lillahi rabbil aalameen» hai jis mein saat aayatein hain jo har namaz mein mukarrar parhi jati hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4474
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن شعبة , قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن , عن حفص بن عاصم , عن ابي سعيد بن المعلى، قال: كنت اصلي في المسجد، فدعاني رسول الله صلى الله عليه وسلم فلم اجبه، فقلت: يا رسول الله، إني كنت اصلي، فقال:" الم يقل الله استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم لما يحييكم سورة الانفال آية 24، ثم قال لي:" لاعلمنك سورة هي اعظم السور في القرآن قبل ان تخرج من المسجد"، ثم اخذ بيدي، فلما اراد ان يخرج، قلت له: الم تقل لاعلمنك سورة هي اعظم سورة في القرآن؟ قال:" الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2 هي السبع المثاني، والقرآن العظيم الذي اوتيته".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya ke mujh se Khubayb bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Hafs bin Aasim ne aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main masjid mein namaz parh raha tha , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe isi halat mein bulaya , main ne koi jawab nahi diya (phir baad mein , main ne hazir ho kar) arz kiya: ya Rasool Allah! Main namaz parh raha tha . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya Allah Ta'ala ne tum se nahi farmaya hai «astajeebu lillahi wa lirrahooli izha daakum» ”Allah aur us ke Rasool jab tumhein bulayein to haan mein jawab do .“ Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke aaj main tumhein masjid se nikalne se pehle ek aisi surat ki taleem doon ga jo Quran ki sab se bari surat hai . Phir Aap ne mera hath apne hath mein liya aur jab Aap bahar nikalne lage to main ne yaad dilaya ke Aap ne mujhe Quran ki sab se bari surat batane ka waada kiya tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «alhamdu lillahi rabbil aalameen» yahi woh saba masani aur Quran e Azeem hai jo mujhe ata kiya gaya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة