الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قول الله عز وجل: {قل إنما حرم ربي الفواحش ما ظهر منها وما بطن} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aap keh den ke mere Parwardigar ne be-hayai ke kaamon ko haram kiya hai, un mein se jo zahir hon (un ko bhi) aur jo chhupe hue hon (un ko bhi).
Show diacritics
Hadith Number: 4637
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قلت: انت سمعت هذا من عبد الله؟ قال: نعم، ورفعه، قال:" لا احد اغير من الله، فلذلك حرم الفواحش ما ظهر منها وما بطن، ولا احد احب إليه المدحة من الله فلذلك مدح نفسه".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne (Amr bin Murrah ne byaan kiya ke) main ne (Abu Wail se) poocha , kya tum ne yeh hadees Ibn Masood razi Allahu anhu se khud suni hai ? Unhon ne kaha ke ji haan aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se byaan kiya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah se zyada aur koi ghairat-mand nahi hai . Isi liye us ne be-hayaiyon ko haram kiya khwah zahir mein hon ya poshida aur Allah se zyada apni madah ko pasand karne wala aur koi nahi , isi liye us ne apne nafs ki khud tareef ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4634
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن عمرو، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" لا احد اغير من الله، ولذلك حرم الفواحش ما ظهر منها وما بطن، ولا شيء احب إليه المدح من الله، ولذلك مدح نفسه"، قلت: سمعته من عبد الله، قال: نعم، قلت: ورفعه، قال: نعم.
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Amr ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne kaha ke Allah se zyada aur koi ghairat-mand nahi , yahi wajah hai ke us ne be-hayaiyon ko haram qarar diya hai . Khwah woh zahir hon khwah poshida aur Allah ko apni tareef se zyada aur koi cheez pasand nahi , yahi wajah hai ke us ne apni khud madah ki hai . (Amr bin Murrah ne byaan kiya ke) Main ne poocha Aap ne yeh hadees khud Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suni thi unhon ne byaan kiya ke haan , main ne poocha aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se hadees byaan ki thi ? Kaha ke haan .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة