الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب الاغتسال إذا أسلم، وربط الأسير أيضا فى المسجد:
Bab: Jab koi shakhs Islam laye to us ko ghusl karana aur qaidi ko masjid mein baandhna.
Show diacritics
Hadith Number: 462
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: حدثنا الليث، قال: حدثنا سعيد بن ابي سعيد، سمع ابا هريرة، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد، فجاءت برجل من بني حنيفة يقال له ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد، فخرج إليه النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اطلقوا ثمامة، فانطلق إلى نخل قريب من المسجد فاغتسل، ثم دخل المسجد، فقال: اشهد ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se Saeed bin Abi Saeed Maqburi ne , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne kuch sawar Najd ki taraf bheje jo tadaad mein tees thay yeh log Banu Hanifa ke ek shakhs ko jis ka naam Thumama bin Uthal tha pakar kar laye . Unhon ne isay masjid ke ek sutun mein bandh diya . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye . Aur teesre roz Thumama ki neik tabiyat dekh kar aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke Thumama ko chhor do . Rehai ke baad woh masjid Nabwi se qareeb ek khajoor ke bagh tak gaye . Aur wahan ghusl kiya . Phir masjid mein dakhil hue aur kaha ash-hadu an la ilaha illallah wa anna Muhammadan Rasool Allah mein gawahi deta hun ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur yeh ke Muhammad Allah ke sachche Rasool hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 469
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا الليث، عن سعيد بن ابي سعيد، انه سمع ابا هريرة، يقول:" بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد، فجاءت برجل من بني حنيفة، يقال له: ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne Saeed bin Abi Saeed Maqburi ke wastay se bayan kiya unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne kuch sawaron ko Najd ki taraf bheja tha . Woh log Banu Hanifa ke ek shakhs Thumama bin Uthal ko butor jangi qeidi pakar laye aur masjid mein ek sutun se bandh diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2422
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد بن ابي سعيد، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنهما، يقول:" بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد، فجاءت برجل من بني حنيفة يقال له ثمامة بن اثال سيد اهل اليمامة، فربطوه بسارية من سواري المسجد، فخرج إليه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: ما عندك يا ثمامة؟ قال: عندي يا محمد خير، فذكر الحديث، قال: اطلقوا ثمامة".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Saeed Bin Abi Saeed ne aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne chand sawaron ka ek lashkar Najd ki taraf bheja. Ye log Banu Hanifah ke ek shakhs ko jis ka naam Sumama Bin Usal tha aur jo ahl-e-Yamamah ka sardar tha, pakar laye aur ise Masjid-e-Nabwi ke ek sutoon mein baandh diya. Phir Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) tashreef laye aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha, Sumama! tu kis khayal mein hai ? Unhon ne kaha ay Muhammad ((Sallallahu Alaihi Wasallam)) mein accha hoon. Phir unhon ne poori hadees zikar ki. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke Sumama ko chhor do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2423
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد، فجاءت برجل من بني حنيفة يقال له ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, kaha ke mujh se Saeed Bin Abi Saeed ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sawaron ka ek lashkar Najd ki taraf bheja jo Banu Hanifah ke ek shakhs Sumama Bin Usal ko pakar laye. Aur masjid ke ek sutoon se is ko baandh diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4372
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد فجاءت برجل من بني حنيفة، يقال له: ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد، فخرج إليه النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" ما عندك يا ثمامة؟" فقال: عندي خير يا محمد، إن تقتلني تقتل ذا دم، وإن تنعم تنعم على شاكر، وإن كنت تريد المال، فسل منه ما شئت، فترك حتى كان الغد، ثم قال له:" ما عندك يا ثمامة؟" قال: ما قلت لك: إن تنعم تنعم على شاكر، فتركه حتى كان بعد الغد، فقال:" ما عندك يا ثمامة؟" فقال: عندي ما قلت لك، فقال:" اطلقوا ثمامة"، فانطلق إلى نجل قريب من المسجد فاغتسل، ثم دخل المسجد، فقال: اشهد ان لا إله إلا الله، واشهد ان محمدا رسول الله، يا محمد والله ما كان على الارض وجه ابغض إلي من وجهك، فقد اصبح وجهك احب الوجوه إلي، والله ما كان من دين ابغض إلي من دينك، فاصبح دينك احب الدين إلي، والله ما كان من بلد ابغض إلي من بلدك، فاصبح بلدك احب البلاد إلي، وإن خيلك اخذتني وانا اريد العمرة، فماذا ترى؟ فبشره رسول الله صلى الله عليه وسلم وامره ان يعتمر، فلما قدم مكة، قال له قائل: صبوت، قال: لا، ولكن اسلمت مع محمد رسول الله صلى الله عليه وسلم ولا والله لا ياتيكم من اليمامة حبة حنطة حتى ياذن فيها النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Saeed bin Abi Saeed ne byaan kiya , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Najd ki taraf kuch sawar bheje woh qabila Banu Hanifah ke (sardaron mein se) ek shakhs Sumamah bin Uasal naami ko pakar kar laye aur Masjid e Nabwi ke ek satoon se baandh diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye aur poocha Sumamah tu kya samajhta hai ? (main tere saath kya karoon ga ?) unhon ne kaha: Ae Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Mere paas khair hai (is ke bawajood) agar Aap mujhe qatl kar dein to Aap ek shakhs ko qatl karein ge jo khoni hai , us ne jang mein Musalmanon ko maara aur agar Aap mujh par ihsan karein ge to aise shakhs par ihsan karein ge jo (ihsan karne wale ka) shukr ada karta hai lekin agar Aap ko maal matloob hai to jitna chahein mujh se maal talab kar sakte hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wahan se chale aaye , doosre din Aap ne phir poocha: Sumamah ab tu kya samajhta hai ? Unhon ne kaha , wahi jo main pehle keh chuka hoon , ke agar Aap ne ihsan kiya to ek aise shakhs par ihsan karein ge jo shukr ada karta hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam phir chale gaye , teesre din phir Aap ne un se poocha: ab tu kya samajhta hai Sumamah ? Unhon ne kaha ke wahi jo main Aap se pehle keh chuka hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sahabah razi Allahu anhum se farmaya ke Sumamah ko chhor do (rassi khol di gayi) to woh Masjid e Nabwi se qareeb ek bagh mein gaye aur ghusl kar ke Masjid e Nabwi mein hazir huay aur parha «ash-hadu alla ilaha illallah , wa ash-hadu anna Muhammadan Rasoolullah» aur kaha ae Muhammad! Allah ki qasam roo e zameen par koi chehra Aap ke chehre se zyada mere liye bura nahi tha lekin aaj Aap ke chehre se zyada koi chehra mere liye mehboob nahi hai . Allah ki qasam koi deen Aap ke deen se zyada mujhe bura nahi lagta tha lekin aaj Aap ka deen mujhe sab se zyada pasandida aur azeez hai . Allah ki qasam! Koi shehar Aap ke shehar se zyada bura mujhe nahi lagta tha lekin aaj Aap ka shehar mera sab se zyada mehboob shehar hai . Aap ke sawaron ne mujhe pakra to main umrah ka irada kar chuka tha . Ab Aap ka kya hukm hai ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein bisharat di aur umrah ada karne ka hukm diya . Jab woh Makkah pahunche to kisi ne kaha ke tum be-deen ho gaye ho . Unhon ne jawab diya ke nahi balkay main Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke saath iman le aaya hoon aur Allah ki qasam! Ab tumhare yahan Yamama se gehoon ka ek dana bhi is waqt tak nahi aaye ga jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ijazat na de dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة