الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ولكل جعلنا موالي مما ترك الوالدان والأقربون} الآية:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo maal walidayn aur qarabat-daar chhor jayen us ke liye hum ne waris thehra diye hain”.
Hadith Number: 4580
حدثني الصلت بن محمد، حدثنا ابو اسامة، عن إدريس، عن طلحة بن مصرف، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما:" ولكل جعلنا موالي سورة النساء آية 33، قال: ورثة، والذين عقدت ايمانكم سورة النساء آية 33 كان المهاجرون لما قدموا المدينة يرث المهاجري الانصاري دون ذوي رحمه للاخوة التي آخى النبي صلى الله عليه وسلم بينهم، فلما نزلت ولكل جعلنا موالي سورة النساء آية 33، نسخت، ثم قال: والذين عقدت ايمانكم سورة النساء آية 33 من النصر، والرفادة، والنصيحة، وقد ذهب الميراث ويوصي له"، سمع ابو اسامة إدريس، وسمع إدريس طلحة.
Hum se Salt bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Idrees ne , un se Talha bin Musarrif ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke (aayat mein) «wa likullin jaalna mawaliya» se murad waris hain aur «wallazhina aaqadat aimanukum» ki tafseer yeh hai ke shuru mein jab Muhajireen Madinah aaye to qarabati daron ke alawa Ansar ke waris Muhajireen bhi hote thay . Is bhai chara ki wajah se jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Muhajireen aur Ansar ke darmiyan karaya tha , phir jab yeh aayat nazil hui ke «wa likullin jaalna mawaliya» to pehla tariqa mansookh ho gaya phir byaan kiya ke «wallazhina aaqadat aimanukum» se woh log murad hain , jin se dosti aur madad aur khair-khwahi ki qasam kha kar ahad kiya jaye . Lekin ab un ke liye miras ka hukm mansookh ho gaya magar wasiyat ka hukm reh gaya . Is isnaad mein Abu Usamah ne Idrees se aur Idrees ne Talha bin Musarrif se suna hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2292
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا ابو اسامة، عن إدريس، عن طلحة بن مصرف، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه: ولكل جعلنا موالي سورة النساء آية 33، قال ورثة: والذين عقدت ايمانكم سورة النساء آية 33، قال:" كان المهاجرون لما قدموا المدينة يرث المهاجر الانصاري، دون ذوي رحمه للاخوة التي آخى النبي صلى الله عليه وسلم بينهم، فلما نزلت: ولكل جعلنا موالي سورة النساء آية 33، نسخت، ثم قال: والذين عقدت ايمانكم سورة النساء آية 33، إلا النصر، والرفادة، والنصيحة، وقد ذهب الميراث ويوصي له".
Hum se Salt Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Idrees ne, un se Talha Bin Musarrif ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke (Quran Majeed ki ayat «ولكل جعلنا موالي») ke mutalliq Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke ( «موالي» ke maani) warsa ke hain. Aur «والذين عقدت أيمانكم» (ka qissa ye hai ke) Muhajirin jab Madinah aaye to Muhajir Ansar ka tarka pate thay aur Ansari ke nata-daron ko kuch na milta. Is bhai-pane ki wajah se jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki qayam ki hui thi. Phir jab ayat «ولكل جعلنا موالي» hui to pehli ayat «والذين عقدت أيمانكم» mansookh ho gayi. Siwa imdad, taawun aur khair-khwahi ke. Albatta mirasi ka hukum (jo Ansar aur Muhajirin ke darmiyan muwakhat ki wajah se tha) wo mansookh ho gaya aur wasiyat jitni chahe ki ja sakti hai. (Jaisi aur shakhson ke liye bhi ho sakti hai tihayi tarka mein se wasiyat ki ja sakti hai jis ka nafaza kiya jaye ga.)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة