الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإذا حضر القسمة أولو القربى واليتامى والمساكين} الآية:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab taqseem-e-wirasat ke waqt kuch azeez-qarabat daar aur bachche aur yateem aur miskeen log maujood hon to un ko bhi kuch de diya karo”aakhir ayat tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4576
حدثنا احمد بن حميد، اخبرنا عبيد الله الاشجعي، عن سفيان، عن الشيباني، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، وإذا حضر القسمة اولو القربى واليتامى والمساكين سورة النساء آية 8، قال:" هي محكمة وليست بمنسوخة". تابعه سعيد، عن ابن عباس.
Hum se Ahmad bin Humayd ne byaan kiya , hum ko Ubaydullah Ashjai ne khabar di , unhein Sufyan Sawri ne , unhein Abu Ishaq Shaybani ne , unhein Ikrimah ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «wa izha hadaral qismata ulul qurba wal yatama wal masakeenu» ”aur jab taqseem ke waqt azeez o aqarib aur yateem aur miskeen maujood hon .“ Ke mutalliq farmaya ke yeh muhkam hai , mansookh nahi hai . Ikrimah ke saath is hadees ko Saeed bin Jubayr ne bhi Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2759
حدثنا محمد بن الفضل ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:إن ناسا يزعمون ان هذه الآية نسخت، ولا، والله ما نسخت ولكنها مما تهاون الناس، هما واليان: وال يرث، وذاك الذي يرزق، ووال لا يرث فذاك الذي يقول بالمعروف، يقول: لا املك لك ان اعطيك".
Hum se Abul Numan Muhammad Bin Fazl ne bayan kiya ' kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya Abu Bishr Jafar se ' un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke kuch log guman karne lage hain ke ye ayat (jis zikr unwan mein hua) miras ki ayat mansookh ho gayi hai ' nahi qasam Allah ki ayat mansookh nahi hui albatta log is par amal karne mein sust ho gaye hain. Tarke ke lene wale do tarah ke hote hain ek wo jo waris hon un ko hissa diya jayega doosre wo jo waris na hon un ko narmi se jawab dene ka hukm hai. Wo yun kahe miyan mein tum ko dene ka ikhtiyar nahi rakhta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة