الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإن خفتم أن لا تقسطوا فى اليتامى} :
Bab: Ayat «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yataama» ki tafseer.
Hadith Number: 4574
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، انه سال عائشة، عن قول الله تعالى وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى سورة النساء آية 3، فقالت:" يا ابن اختي، هذه اليتيمة تكون في حجر وليها، تشركه في ماله ويعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا عن ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن، ويبلغوا لهن اعلى سنتهن في الصداق، فامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن، قال عروة: قالت عائشة:" وإن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء سورة النساء آية 127، قالت عائشة: وقول الله تعالى في آية اخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 رغبة احدكم عن يتيمته حين تكون قليلة المال والجمال، قالت:" فنهوا ان ينكحوا عن من رغبوا في ماله وجماله في يتامى النساء إلا بالقسط، من اجل رغبتهم عنهن إذا كن قليلات المال والجمال".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne , unhon ne kaha mujh ko Urwah bin Zubayr ne khabar di unhon ne Aisha razi Allahu anha se aayat «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yatama» ka matlab poocha . Unhon ne kaha mere bhatije is ka matlab yeh hai ke ek yateem larki apne wali ki parwarish mein ho aur is ki jaidad ki hissa-dar ho (tarke ki roo se is ka hissa ho) ab is wali ko is ki maldari khubsoorti pasand aaye . Is se nikah karna chahe par insaf ke saath poora mahr jitna mahr is ko doosre log dein , na dena chahe , to Allah Ta'ala ne is aayat mein logon ko aaisi yateem larkiyon ke saath jab tak un ka poora mahr insaf ke saath na dein , nikah karne se mana farmaya aur un ko yeh hukm diya ke tum doosri auraton se jo tum ko bhali lagein nikah kar lo . (yateem larki ka nuqsan na karo) Urwah ne kaha Aisha razi Allahu anha kehti thien , is aayat ke utarne ke baad logon ne phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is baare mein masla poocha , is waqt Allah ne yeh aayat «wa yastaftoonaka fin-nisa'i» utari . Aisha razi Allahu anha ne kaha doosri aayat mein yeh jo farmaya «wa targhaboona an yankihuhunna» yani woh yateem larkiyan jin ka maal o jamal kam ho aur tum un ke saath nikah karne se nafrat karo . Is ka matlab yeh hai ke jab tum in yateem larkiyon se jin ka maal o jamal kam ho nikah karna nahi chahte to maal aur jamal wali yateem larkiyon se bhi jin se tum ko nikah karne ki raghbat hai nikah na karo , magar jab insaf ke saath un ka mahr poora ada karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2494
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله العامري الاويسي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها. وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير،" انه سال عائشة رضي الله عنها عن قول الله تعالى: وإن خفتم الا تقسطوا إلى ورباع سورة النساء آية 3، فقالت: يا ابن اختي، هي اليتيمة تكون في حجر وليها تشاركه في ماله فيعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن ويبلغوا بهن اعلى سنتهن من الصداق، وامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن". قال عروة: قالت عائشة: ثم إن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء إلى قوله وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127، والذي ذكر الله انه يتلى عليكم في الكتاب الآية الاولى التي قال فيها وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت عائشة: وقول الله في الآية الاخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 يعني هي رغبة احدكم ليتيمته التي تكون في حجره حين تكون قليلة المال والجمال، فنهوا ان ينكحوا ما رغبوا في مالها وجمالها من يتامى النساء، إلا بالقسط من اجل رغبتهم عنهن.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Aamiri Owaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Urwah Bin Zubair ne khabar di aur unhon ne Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) se poocha tha (doosri sanad) aur Lais ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se (Surah Nisa mein) is ayat ke bare mein poocha "Wa in khiftum" se "wa rubaa" "agar tum ko yatimon mein insaf na karne ka darr ho to jo auratein pasand aayein do do teen teen char char nikah mein lao" unhon ne kaha mere bhanje ye ayat is yatim larki ke bare mein hai jo apne wali (muhafiz rishtedar jaise chachera bhai, phuphi zad ya mamoon zad bhai) ki parwarish mein ho aur tarke ke mal mein is ki sajhi ho aur wo is ki maldari aur khubsoorti par farefta ho kar is se nikah kar lena chahe lekin poora mehar insaf se jitna is ko aur jagah milta wo na de, to ise is se mana kar diya gaya ke aisi yatim larkiyon se nikah kare. Albatta agar un ke sath un ke wali insaf kar sakein aur un ki hasb-e-haisiyat behtar se behtar tarz-e-amal mehar ke bare mein ikhtiyar karein (to is soorat mein nikah karne ki ijazat hai) aur un se ye bhi keh diya gaya ke un ke siwa jo bhi aurat unhein pasand ho un se wo nikah kar sakte hain. Urwah Bin Zubair ne kaha ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne batlaya, phir logon ne is ayat ke nazil hone ke baad (aisi larkiyon se nikah ki ijazat ke bare mein) masla poocha to Allah Ta'ala ne ye ayat nazil ki "Wa yastaftunaka fin-nisa" "Aur aap se auraton ke bare mein ye log sawal karte hain". Aage farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho. Ye jo is ayat mein hai aur jo Quran mein tum par parha jata hai is se murad pehli ayat hai yani "agar tum ko yatimon mein insaf na ho sakne ka darr ho to doosri auratein jo bhali lagein un se nikah kar lo". Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ye jo Allah ne doosri ayat mein farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho is se ye gharaz hai ke jo yatim larki tumhari parwarish mein ho aur mal aur jamal kam rakhti ho is se to tum nafrat karte ho, is liye jis yatim larki ke mal aur jamal mein tum ko raghbat ho is se bhi nikah na karo magar is soorat mein jab insaf ke sath un ka poora mehar ada karo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة