الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإن خفتم أن لا تقسطوا فى اليتامى} :
Bab: Ayat «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yataama» ki tafseer.
Hadith Number: 4573
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن ابن جريج، قال: اخبرني هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:"ان رجلا كانت له يتيمة فنكحها، وكان لها عذق، وكان يمسكها عليه ولم يكن لها من نفسه شيء، فنزلت فيه: وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى سورة النساء آية 3، احسبه قال: كانت شريكته في ذلك العذق وفي ماله".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , un se Ibn Jurayj ne kaha , kaha mujh ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke ek aadmi ki parwarish mein ek yateem larki thi , phir us ne is se nikah kar liya , is yateem larki ki milkiyat mein khajoor ka ek bagh tha . Isi bagh ki wajah se yeh shakhs is ki parwarish karta raha haalan ke dil mein is se koi khaas lagao na tha . Is silsile mein yeh aayat utri «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yatama» ke ”agar tumhein andesha ho ke tum yateemon ke haq mein insaf na kar sako ge .“ Hisham bin Yusuf ne kaha main samajhta hoon , Ibn Jurayj ne yun kaha yeh larki is darakht aur doosre maal asbab mein is mard ki hissa-dar thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2494
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله العامري الاويسي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها. وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير،" انه سال عائشة رضي الله عنها عن قول الله تعالى: وإن خفتم الا تقسطوا إلى ورباع سورة النساء آية 3، فقالت: يا ابن اختي، هي اليتيمة تكون في حجر وليها تشاركه في ماله فيعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن ويبلغوا بهن اعلى سنتهن من الصداق، وامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن". قال عروة: قالت عائشة: ثم إن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء إلى قوله وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127، والذي ذكر الله انه يتلى عليكم في الكتاب الآية الاولى التي قال فيها وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت عائشة: وقول الله في الآية الاخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 يعني هي رغبة احدكم ليتيمته التي تكون في حجره حين تكون قليلة المال والجمال، فنهوا ان ينكحوا ما رغبوا في مالها وجمالها من يتامى النساء، إلا بالقسط من اجل رغبتهم عنهن.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Aamiri Owaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Urwah Bin Zubair ne khabar di aur unhon ne Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) se poocha tha (doosri sanad) aur Lais ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se (Surah Nisa mein) is ayat ke bare mein poocha "Wa in khiftum" se "wa rubaa" "agar tum ko yatimon mein insaf na karne ka darr ho to jo auratein pasand aayein do do teen teen char char nikah mein lao" unhon ne kaha mere bhanje ye ayat is yatim larki ke bare mein hai jo apne wali (muhafiz rishtedar jaise chachera bhai, phuphi zad ya mamoon zad bhai) ki parwarish mein ho aur tarke ke mal mein is ki sajhi ho aur wo is ki maldari aur khubsoorti par farefta ho kar is se nikah kar lena chahe lekin poora mehar insaf se jitna is ko aur jagah milta wo na de, to ise is se mana kar diya gaya ke aisi yatim larkiyon se nikah kare. Albatta agar un ke sath un ke wali insaf kar sakein aur un ki hasb-e-haisiyat behtar se behtar tarz-e-amal mehar ke bare mein ikhtiyar karein (to is soorat mein nikah karne ki ijazat hai) aur un se ye bhi keh diya gaya ke un ke siwa jo bhi aurat unhein pasand ho un se wo nikah kar sakte hain. Urwah Bin Zubair ne kaha ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne batlaya, phir logon ne is ayat ke nazil hone ke baad (aisi larkiyon se nikah ki ijazat ke bare mein) masla poocha to Allah Ta'ala ne ye ayat nazil ki "Wa yastaftunaka fin-nisa" "Aur aap se auraton ke bare mein ye log sawal karte hain". Aage farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho. Ye jo is ayat mein hai aur jo Quran mein tum par parha jata hai is se murad pehli ayat hai yani "agar tum ko yatimon mein insaf na ho sakne ka darr ho to doosri auratein jo bhali lagein un se nikah kar lo". Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ye jo Allah ne doosri ayat mein farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho is se ye gharaz hai ke jo yatim larki tumhari parwarish mein ho aur mal aur jamal kam rakhti ho is se to tum nafrat karte ho, is liye jis yatim larki ke mal aur jamal mein tum ko raghbat ho is se bhi nikah na karo magar is soorat mein jab insaf ke sath un ka poora mehar ada karo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة