الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {كنتم خير أمة أخرجت للناس} :
Bab: Ayat ki tafseer“Tum log behtareen ummat ho jo logon ke liye paida ki gayi ho tum nek kaamon ka hukm karte ho, bure kaamon se rokte ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 4557
حدثنا محمد بن يوسف، عن سفيان، عن ميسرة، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، كنتم خير امة اخرجت للناس سورة آل عمران آية 110، قال:" خير الناس للناس، تاتون بهم في السلاسل في اعناقهم حتى يدخلوا في الإسلام".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha un se Sufyan ne , un se Maysarah ne , un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aayat «kuntum khayra ummatin ukhrijat linnaasi» ”tum log logon ke liye sab logon se behtar ho“ aur kaha un ko gardanon mein zanjeerein daal kar (larai mein giriftar kar ke) laate ho phir woh Islam mein dakhil ho jate hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3010
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" عجب الله من قوم يدخلون الجنة في السلاسل".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya ‘ kaha hum se Ghundar ne bayan kiya ‘ kaha hum Shuba ne bayan kiya ‘ in se Muhammad Bin Ziyad ne aur in se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Aise logon par Allah ko tajjub ho ga ‘ jo jannat mein beriyon samait dakhil honge (yani musalmanon ne kafiron ko pakar kar beriyon mein qaid kar diya phir wo musalman ho gaye to Allah Ta'ala un ko Islam ki wajah se jannat mein dakhil kar dega to Allah Ta'ala aise logon par tajjub karein ge ke ye log apne kufr ki wajah se pa-ba-zanjeer hue aur Islam la kar jannat mein dakhil ho gaye.)"
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة