الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإن تبدوا ما فى أنفسكم أو تخفوه يحاسبكم به الله فيغفر لمن يشاء ويعذب من يشاء والله على كل شيء قدير} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo khayal tumhare dilon ke andar chhupa hua hai agar tum us ko zahir kar do ya use chhupaye rakho har haal mein Allah us ka hisab tum se lega, phir jise chahe bakhsh de ga aur jise chahe azab kare ga aur Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai”.
Hadith Number: 4545
حدثنا محمد , حدثنا النفيلي، حدثنا مسكين , عن شعبة , عن خالد الحذاء , عن مروان الاصفر , عن رجل من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم وهو ابن عمر ," انها قد نسخت وإن تبدوا ما في انفسكم او تخفوه سورة البقرة آية 284 الآية".
Hum se Muhammad bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Muhammad Nufayli ne byaan kiya , kaha hum se Miskeen bin Bukayr Harran ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Khalid Hazza ne , un se Marwan Asfar ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi yani Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke aayat «wa in tubdu ma fee anfusikum au tukhfoohu» ”aur jo kuch tumhare nafson ke andar hai agar tum un ko zahir karo ya chhupaye rakkho .“ Aakhir tak mansookh ho gi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4546
حدثني إسحاق بن منصور , اخبرنا روح , اخبرنا شعبة , عن خالد الحذاء , عن مروان الاصفر , عن رجل من اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال: احسبه ابن عمر ," وإن تبدوا ما في انفسكم او تخفوه سورة البقرة آية 284 , قال: نسختها الآية التي بعدها".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhein Rauh bin Ubadah ne khabar di , unhein Shubah ne khabar di , unhein Khalid Hazza ne , unhein Marwan Asfar ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi ne , kaha ke woh Ibn Umar razi Allahu anhuma hain . Unhon ne aayat «in tubdu ma fee anfusikum au tukhfoohu» ke mutalliq batlaya ke is aayat ko is ke baad ki aayat ( «la yukallifullahu nafsan illa wusaha») ne mansookh kar diya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة