الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فأذنوا بحرب} فاعلموا:
Bab: Ayat «fa’zanoo bi-harbin» ki tafseer lafz «fa’zanoo» bama’ni «fa’lamoo» hai yani jaan lo, aagah ho jao.
Hadith Number: 4542
حدثني محمد بن بشار , حدثنا غندر , حدثنا شعبة , عن منصور , عن ابي الضحى، عن مسروق , عن عائشة، قالت:" لما انزلت الآيات من آخر سورة البقرة قراهن النبي صلى الله عليه وسلم عليهم في المسجد وحرم التجارة في الخمر".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein masjid mein parh kar sunaya aur sharab ki tijarat haram qarar di gayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 459
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، عن عائشة، قالت:" لما انزلت الآيات من سورة البقرة في الربا، خرج النبي صلى الله عليه وسلم إلى المسجد فقراهن على الناس، ثم حرم تجارة الخمر".
Hum se Abdan bin Abdullah bin Usman ne Abu Hamza Muhammad bin Maimoon ke wastay se bayan kiya , unhon ne Amash se , unhon ne Muslim se , unhon ne Masrooq se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se . Aap farmati hain ke jab Surah Al-Baqarah ki sood se mutalliq ayat nazil huin to Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam masjid mein tashreef le gaye aur un ayat ki logon ke samne tilawat farmayi . Phir farmaya ke sharab ki tijarat haram hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2084
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما نزلت آخر البقرة، قراهن النبي صلى الله عليه وسلم عليهم في المسجد، ثم حرم التجارة في الخمر".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Abu-al-Zuha ne, un se Masrooq ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab (Surah) Baqarah ki aakhri ayatein «Alladheena ya'kuloona-ar-riba *** al-kh» nazil hueein to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein Sahaba (Radi Allahu Anhum) ko masjid mein parh kar sunaya. Is ke baad un par sharab ki tijarat haram kar diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2226
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، لما نزلت آيات سورة البقرة عن آخرها، خرج النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" حرمت التجارة في الخمر".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, un se Abu Duha ne, un se Masruq ne, un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab Surah Al-Baqarah ki tamam aayatein nazil ho chukin to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) bahar tashreef laye aur farmaya ke sharab ki saudagari haram qarar di gayi hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2236
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن عطاء بن ابي رباح، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول عام الفتح وهو بمكة:" إن الله ورسوله حرم بيع الخمر، والميتة، والخنزير، والاصنام"، فقيل: يا رسول الله، ارايت شحوم الميتة؟ فإنها يطلى بها السفن، ويدهن بها الجلود، ويستصبح بها الناس، فقال: لا هو حرام، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم عند ذلك: قاتل الله اليهود، إن الله لما حرم شحومها جملوه، ثم باعوه فاكلوا ثمنه، قال ابو عاصم: حدثنا عبد الحميد، حدثنا يزيد، كتب إلي عطاء، سمعت جابرا رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Yazid Bin Abi Habib ne bayan kiya, un se Ata Bin Abi Rabah ne bayan kiya, aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ke unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Fatah Makkah ke saal Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Aap ka qayam abhi Makkah hi mein tha ke Allah aur is ke Rasul ne sharab, murdar, suar aur buton ka bechna haram qarar de diya hai. Is par poocha gaya ke Ya Rasul Allah! murdar ki charbi ke mutalliq kya hukum hai ? Ise hum kashtiyon par malte hain. Khalon par is se tail ka kaam lete hain aur log is se apne chiragh bhi jalate hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke nahi wo haram hai. Isi mauqe par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Allah Yahoodiyon ko barbad kare Allah Ta'ala ne jab charbi un par haram ki to un logon ne pighla kar ise becha aur is ki qeemat khayi. Abu Asim ne kaha ke hum se Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Yazid ne bayan kiya, unhein Ata ne likha ke mein ne Jabir (Radi Allahu Anhu) se suna aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4296
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن عطاء بن ابي رباح، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" عام الفتح وهو بمكة إن الله ورسوله حرم بيع الخمر".
Hum se Qutaybah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Abi Habib ne ‘ un se Ata bin Abi Rabah ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap ne Fatah Makkah ke mauqa par Makkah Mukarramah mein farmaya tha ke Allah aur us ke Rasool ne sharab ki khareed o farokht mutlaq haram qarar de di hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4540
حدثنا عمر بن حفص بن غياث , حدثنا ابي , حدثنا الاعمش، حدثنا مسلم , عن مسروق , عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" لما نزلت الآيات من آخر سورة البقرة في الربا قراها رسول الله صلى الله عليه وسلم على الناس، ثم حرم التجارة في الخمر".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , hum se Aamash ne byaan kiya , hum se Muslim ne byaan kiya , un se Masrooq ne aur un se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab sood ke silsile mein Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein parh kar logon ko sunaya aur is ke baad sharab ki tijarat bhi haram qarar payi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4541
حدثنا بشر بن خالد , اخبرنا محمد بن جعفر , عن شعبة , عن سليمان الاعمش , سمعت ابا الضحى يحدث، عن مسروق , عن عائشة , انها قالت:" لما انزلت الآيات الاواخر من سورة البقرة خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم فتلاهن في المسجد، فحرم التجارة في الخمر".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Sulayman Aamash ne , unhon ne kaha ke main ne Abu al-Duha se suna , woh Masrooq se riwayat karte thay ke un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye aur masjid mein unhein parh kar sunaya is ke baad sharab ki tijarat haram ho gayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4543
وقال لنا محمد بن يوسف، عن سفيان , عن منصور، والاعمش , عن ابي الضحى , عن مسروق , عن عائشة , قالت:" لما انزلت الآيات من آخر سورة البقرة قام رسول الله صلى الله عليه وسلم فقراهن علينا، ثم حرم التجارة في الخمر".
Aur hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , un se Sufyan Sawri ne , un se Mansoor aur Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayat nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kharay huay aur hamain parh kar sunaya phir sharab ki tijarat haram kar di .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة