الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإذ قال إبراهيم رب أرني كيف تحيي الموتى} :
Bab: Ayat ki tafseer“Us waqt ko yaad karo, jab Ibrahim Alaihis Salam ne arz kiya ke Ay mere Rab! mujhe dikha de ke Tu murdon ko kis tarah zinda kare ga”.
Hadith Number: 4537
حدثنا احمد بن صالح , حدثنا ابن وهب , اخبرني يونس , عن ابن شهاب , عن ابي سلمة وسعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نحن احق بالشك من إبراهيم إذ قال: رب ارني كيف تحيي الموتى قال اولم تؤمن قال بلى ولكن ليطمئن قلبي سورة البقرة آية 260.
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , un se Ibn Wahb ne byaan kiya , unhein Yunus ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Abu Salamah aur Saeed ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Shakk karne ka hamain Ibrahim alaihissalam se zyada haq hai , jab unhon ne arz kiya tha ke ae mere Rabb! Mujhe dikha de ke tu mardon ko kis tarah zinda kare ga , Allah ki taraf se irshad hua , kya tujh ko yaqeen nahi hai ? Arz ki yaqeen zaroor hai , lekin main ne yeh darkhwast is liye ki hai ke mere dil ko aur itminan haasil ho jaye .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3372
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن وسعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نحن احق بالشك من إبراهيم إذ قال رب ارني كيف تحيي الموتى قال اولم تؤمن قال بلى ولكن ليطمئن قلبي سورة البقرة آية 260 ويرحم الله لوطا لقد كان ياوي إلى ركن شديد ولو لبثت في السجن طول ما لبث يوسف لاجبت الداعي".
Hum se Ahmad Bin Salih ne bayan kiya kaha hum se Abdullah Bin Wahb ne bayan kiya kaha ke mujhe Yunus ne khabar di unhein Ibn Shihab ne unhein Abu Salama Bin Abd-ul-Rahman aur Said Bin Musayyab ne unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Hum Ibrahim Alaihis Salam ke muqabale mein shak karne ke zyada mustahaq hain jab ke unhon ne kaha tha ke mere Rabb! Mujhe dikha ke tu murdo ko kis tarah zinda karta hai. Allah Ta'ala ne farmaya 'kaha kya tum iman nahi laye' unhon ne arz kiya ke kyun nahi 'lekin ye sirf is liye taake mere dil ko aur zyada itminan ho jaye.' Aur Allah Loot Alaihis Salam par reham kar ke wo zabardast rukun (yaani Allah Ta'ala) ki panah lete thay aur agar mein itni muddat tak qaid-khane mein rehta jitni muddat tak Yusuf Alaihis Salam rahe thay to mein bulane wale ke baat zaroor maan leta."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة