الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {نساؤكم حرث لكم فأتوا حرثكم أنى شئتم وقدموا لأنفسكم} الآية:
Bab: Ayat ki tafseer“Tumhari biwiyan tumhari kheti hain, so tum apne khet mein aao jis tarah se chaho aur apne haq mein aakhirat ke liye kuch nekiyan karte raho”.
Show diacritics
Hadith Number: 4527
وعن عبد الصمد , حدثني ابي , حدثني ايوب , عن نافع , عن ابن عمر , فاتوا حرثكم انى شئتم سورة البقرة آية 223 , قال:" ياتيها في"،رواه محمد بن يحيى بن سعيد , عن ابيه , عن عبيد الله , عن نافع , عن ابن عمر.
Aur Abdus Samad bin Abdul Waris se riwayat hai , un se un ke walid ne byaan kiya , un se Ayub ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke aayat «fa'too harsakum anna shi'tum» ”so tum apne khet mein aao jis tarah chaho .“ Ke baare mein farmaya ke (peeche se bhi) aa sakta hai . Aur is hadees ko Muhammad bin Yahya bin Saeed bin Qattan ne bhi apne walid se , unhon ne Ubaydullah se , unhon ne Nafi ne aur unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4526
حدثنا إسحاق , اخبرنا النضر بن شميل , اخبرنا ابن عون , عن نافع , قال: كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا قرا القرآن لم يتكلم حتى يفرغ منه، فاخذت عليه يوما فقرا سورة البقرة حتى انتهى إلى مكان، قال:" تدري فيم انزلت؟" قلت: لا، قال:" انزلت في كذا وكذا"، ثم مضى.
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum ko Nadr bin Shumayl ne khabar di , kaha hum ko Abdullah bin Aun ne khabar di , un se Nafi ne byaan kiya ke jab Ibn Umar razi Allahu anhuma Quran parhte to aur koi lafz zaban par nahi laate yahan tak ke tilawat se farigh ho jate . Ek din main (Quran Majeed le kar) un ke samne baith gaya aur unhon ne Surah al-Baqarah ki tilawat shuru ki . Jab is aayat «nisa'ukum harsul lakum» al-kh par pahunche to farmaya , maloom hai yeh aayat kis ke baare mein nazil hui thi ? Main ne arz kiya ke nahi , farmaya ke falan falan cheez (yani aurat se peeche ki taraf se jima karne ke baare mein) nazil hui thi aur phir tilawat karne lage .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة