الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وهو ألد الخصام} :
Bab: Ayat ki tafseer“Halaanke woh bohot hi sakht qism ka jhagrallu hai”.
Hadith Number: 4523
حدثنا قبيصة , حدثنا سفيان , عن ابن جريج , عن ابن ابي مليكة , عن عائشة ترفعه , قال: ابغض الرجال إلى الله الالد الخصم , وقال عبد الله , حدثنا سفيان , حدثني ابن جريج , عن ابن ابي مليكة , عن عائشة رضي الله عنها , عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha un se Ibn Jurayj ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Allah Ta'ala ke nazdeek sab se zyada napasandida shakhs woh hai jo sakht jhagralu ho aur Abdullah (Abdullah bin Waleed Adani) ne byaan kiya ke hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha mujh se Ibn Jurayj ne byaan kiya , un se Ibn Abi Mulaykah ne , un se Aisha razi Allahu anha ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (wahi hadees jo oopar guzri) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2457
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن ابي مليكة، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن ابغض الرجال إلى الله الالد الخصم".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Ibn Jurayj ne, un se Ibn Abi Mulaikah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Allah Ta'ala ke yahan sab se ziyada napasand wo aadmi hai jo sakht jhagralu ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة