الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ومنهم من يقول ربنا آتنا فى الدنيا حسنة وفي الآخرة حسنة وقنا عذاب النار} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur kuch un mein aise hain jo kehte hain ke Ay hamare Parwardigar! hum ko dunya mein behtari de aur aakhirat mein bhi behtari de aur hum ko dozakh ke azab se bachaiyo”.
Hadith Number: 4522
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث , عن عبد العزيز , عن انس , قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" اللهم ربنا آتنا في الدنيا حسنة وفي الآخرة حسنة وقنا عذاب النار".
Hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya , in se Abdul Aziz ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dua karte thay ” «allahumma rabbana aatina fiddunya hasanatan wa fil aakhirati hasanatan wa qina azhaban naar» ”Ae Parvardigar! Hamare! Hum ko duniya mein bhi behtari de aur aakhirat mein bhi behtari aur hum ko dozakh ke azab se bachaiyo .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6385
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا قفل من غزو، او حج، او عمرة، يكبر على كل شرف من الارض ثلاث تكبيرات، ثم يقول:" لا إله إلا الله، وحده لا شريك له، له الملك، وله الحمد، وهو على كل شيء قدير، آيبون تائبون عابدون لربنا حامدون صدق الله وعده، ونصر عبده، وهزم الاحزاب وحده".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, unhon ne kaha hamase Nafi ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam jab kisi ghazwa ya Hajj ya Umrah se wapas hote to zameen se har buland cheez par charhte waqt teen takbeerein kaha karte thay. Phir dua karte «laa ilaaha illallaahu, wahdahoo laa shareeka lahoo, lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa huwa alaa kulli shay-in qadeer. aayiboona taa-iboona aabidoona, lirabbinaa haamidoona. sadaqallaahu wa-dahu, wa nasara abdahu, wa hazamal-ahzhaaba wahdahu» ”Allah ke siwa koi mabood nahi, woh tanha hai is ka koi shareek nahi, is ke liye badshahi hai aur isi ke liye tamam tareefein hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai. Lautte hain hum tauba karte huay apne Rabb ki ibadat karte huay aur hamd bayan karte huay. Allah ne apna wada sach kar dikhaya, apne banda ki madad ki aur tanha tamam lashkar ko shikast di.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6389
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن عبد العزيز، عن انس، قال:" كان اكثر دعاء النبي صلى الله عليه وسلم، اللهم ربنا آتنا في الدنيا حسنة، وفي الآخرة حسنة، وقنا عذاب النار".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, in se Abd-ul-Aziz ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki aksar yeh dua hua karti ku «allaahumma rabbanaa aatinaa fid-dunyaa hasanatan, wa fil-aakhirati hasanatan, wa qinaa azhaaban-naari» ”Ae Allah! Hamain duniya mein bhalayi ( «hasanah») ata kar aur aakhirat mein bhalayi ata kar aur hamain dozakh se bacha.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة