الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ليس عليكم جناح أن تبتغوا فضلا من ربكم} :
Bab: Ayat «laysa alaykum junaahun an tabtaghoo fadlan min rabbikum» ki tafseer.
Hadith Number: 4519
حدثني محمد , قال: اخبرني ابن عيينة , عن عمرو , عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" كانت عكاظ , ومجنة , وذو المجاز اسواقا في الجاهلية، فتاثموا ان يتجروا في المواسم، فنزلت ليس عليكم جناح ان تبتغوا فضلا من ربكم سورة البقرة آية 198 في مواسم الحج".
Mujh se Muhammad ne byaan kiya , kaha ke mujhe Ibn Uyaynah ne khabar di , unhein Amr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Ukaz , Mijannah aur Zhul Majaz zamana e jahiliyat ke bazar (meley) thay , is liye (Islam ke baad) mausam e hajj mein sahabah razi Allahu anhum ne wahan karobar ko bura samjha to aayat nazil hui «laysa alaykum junahun an tabtaghu fadlan min rabbikum» ke ”tumhein is baare mein koi haraj nahi ke tum apne Parvardigar ke yahan se talash e maash karo .“ Yani mausam e hajj mein tijarat ke liye mazkoora mandiyon mein jao .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1770
حدثنا عثمان بن الهيثم، اخبرنا ابن جريج، قال عمرو بن دينار , قال ابن عباس رضي الله عنهما:" كان ذو المجاز وعكاظ متجر الناس في الجاهلية، فلما جاء الإسلام كانهم كرهوا ذلك , حتى نزلت: ليس عليكم جناح ان تبتغوا فضلا من ربكم سورة البقرة آية 198 في مواسم الحج".
Hum se Usman Bin Haizam ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Ibn Jurayj ne khabar di, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Zu-al-Majaz aur Ukaz ehd-e-jahiliyat ke bazar thay jab Islam aaya to goya logon ne (jahiliyat ke in bazaron mein) khareed-o-farokht ko bura khayal kiya is par (Surah al-Baqarah ki) ye ayat nazil hui ”Tumhare liye koi haraj nahi agar tum apne Rabb ke fazl ki talash karo, ye Haj ke zamana ke liye tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة