الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فمن تمتع بالعمرة إلى الحج} :
Bab: Ayat ki tafseer“To phir jo shakhs Hajj ko Umrah ke sath mila kar faida uthaye”.
Hadith Number: 4518
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن عمران ابي بكر , حدثنا ابو رجاء، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما , قال:" انزلت آية المتعة في كتاب الله، ففعلناها مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ولم ينزل قرآن يحرمه ولم ينه عنها حتى مات"، قال رجل: برايه ما شاء.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya ne byaan kiya , un se Imran Abi Bakr ne , un se Abu Rajaa ne byaan kiya aur un se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke (hajj mein) tamattu ka hukm Quran mein nazil hua aur hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath tamattu ke saath (hajj) kiya , phir is ke baad Quran ne is se nahi roka aur na is se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne roka , yahan tak ke Aap ki wafat ho gayi (lehaza tamattu ab bhi jaiz hai) yeh to ek sahab ne apni rai se jo chaha keh diya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1871
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن يحيى بن سعيد، قال: سمعت ابا الحباب سعيد بن يسار، يقول: سمعت ابا هريرةرضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" امرت بقرية تاكل القرى، يقولون يثرب وهي المدينة، تنفي الناس كما ينفي الكير خبث الحديد".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha humein Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Yahya Bin Saeed ne, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abu-al-Hubab Saeed Bin Yasar se suna, unhon ne kaha ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujhe ek aise shehar (mein hijrat) ka hukm hua hai jo doosre shehron ko kha le ga. (Yani sab ka sardar bane ga) munafiqeen usay Yasrib kehte hain lekin is ka naam Madinah hai wo (bure) logon ko is tarah bahar kar deta hai jis tarah bhatti lohe ke zang ko nikal deti hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة