الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة ويكون الدين لله فإن انتهوا فلا عدوان إلا على الظالمين} :
Bab: Ayat ki tafseer aur“In kafiron se laro, yahan tak ke fitnah (shirk) baqi na rahe aur deen Allah hi ke liye reh jaye, so agar woh baaz aa jayen to sakhti kisi par bhi nahi bajuz (apne haq mein) zulm karne walon ke”.
Show diacritics
Hadith Number: 4514
وزاد عثمان بن صالح , عن ابن وهب , قال: اخبرني فلان، وحيوة بن شريح , عن بكر بن عمرو المعافري , ان بكير بن عبد الله حدثه، عن نافع , ان رجلا , اتى ابن عمر , فقال: يا ابا عبد الرحمن , ما حملك على ان تحج عاما، وتعتمر عاما، وتترك الجهاد في سبيل الله عز وجل، وقد علمت ما رغب الله فيه؟ قال:" يا ابن اخي بني الإسلام على خمس إيمان بالله ورسوله، والصلاة الخمس، وصيام رمضان، واداء الزكاة، وحج البيت" , قال: يا ابا عبد الرحمن الا تسمع ما ذكر الله في كتابه وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا فاصلحوا بينهما فإن بغت إحداهما على الاخرى فقاتلوا التي تبغي حتى تفيء إلى امر الله سورة الحجرات آية 9 وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة سورة البقرة آية 193 , قال:" فعلنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان الإسلام قليلا، فكان الرجل يفتن في دينه إما قتلوه وإما يعذبونه حتى كثر الإسلام، فلم تكن فتنة".
Aur Usman bin Salih ne zyada bayan kiya ke un se Abdullah bin Wahab ne bayan kiya , unhein falan shakhs Abdullah bin Rabia aur Haiwa bin Shuraih ne khabar di , unhein Bakr bin Amr Ma'afiri ne , un se Bukair bin Abdullah ne bayan kiya , un se Nafi ne ke ek shakhs (Hakim) Ibn Umar rz ki khidmat mein hazir hua aur kaha ke ae Abu Abdur Rahman! Tum ko kya ho gaya hai ke tum ek saal hajj karte ho aur ek saal umrah aur Allah Azzawajal ke raste mein jihad mein shareek nahi hote . Aap ko khud maloom hai ke Allah Ta'ala ne jihad ki taraf kitni raghbat dilayi hai . Ibn Umar rz ne farmaya ke mere bhatije! Islam ki bunyad panch cheezon par hai . Allah aur us ke Rasool par iman lana , panch waqt ki namaz parhna , Ramazan ke roze rakhna , zakat dena aur hajj karna .“ Unhone kaha: ae Aba Abdur Rahman! Kitab Allah mein jo Allah Ta'ala ne irshad farmaya kya aap ko woh maloom nahi hai «Wa in Ta'ifatani Minal Mu'mininaqtatalu Fa Aslihu Bainahuma» ke ”Musalmanon ki do jamaatein agar aapas mein jang karein to un mein sulah karao . Allah Ta'ala ke irshad «Ila Amrillah» tak (aur Allah Ta'ala ka irshad ke un se jang karo) yahan tak ke fasad baqi na rahe . Ibn Umar rz bole ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke ahd mein hum yeh farz anjam de chuke hain us waqt Musalman bohat thore thay , kafiron ka hujoom tha to kafir log Musalmanon ka deen kharab karte thay , kahin Musalmanon ko mar dalte , kahin takleef dete yahan tak ke Musalman bohat ho gaye fitna jata raha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3130
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عثمان بن موهب، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: إنما تغيب عثمان عن بدر فإنه كانت تحته بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم وكانت مريضة، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم:" إن لك اجر رجل ممن شهد بدرا وسهمه".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, kaha hum se Usman Bin Mouhab (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ke Usman (Radi Allahu Anhu) Badr ki ladai mein shareek na ho sake thay. Un ke nikah mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki ek sahibzadi theen aur wo bimar theen. Un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tumhein bhi itna hi sawab milega jitna Badr mein shareek hone wale kisi shakhs ko, aur itna hi hissa bhi milega
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة