الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {وليس البر بأن تأتوا البيوت من ظهورها ولكن البر من اتقى وأتوا البيوت من أبوابها واتقوا الله لعلكم تفلحون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur ye to koi bhi neki nahi ke tum gharon mein un ki pichhli deewar ki taraf se aao, albatta neki ye hai ke koi shakhs taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aao aur Allah se darte raho taake tum falah pa jao”.
Hadith Number: 4512
حدثنا عبيد الله بن موسى , عن إسرائيل , عن ابي إسحاق، عن البراء، قال:" كانوا إذا احرموا في الجاهلية اتوا البيت من ظهره، فانزل الله: وليس البر بان تاتوا البيوت من ظهورها ولكن البر من اتقى واتوا البيوت من ابوابها سورة البقرة آية 189".
Hum se Ubaydullah bin Musa ne byaan kiya , kaha un se Israeel ne , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab log jahiliyat mein ihram bandh lete to gharon mein peeche ki taraf se chhat par charh kar dakhil hote . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wa laysal birru bi-an ta'tul buyoota min zhuhooriha wa lakinnal birra manit-taqa wa'tul buyoota min abwaabiha» ke ”aur yeh naiki nahi hai ke tum gharon mein un ke peeche ki taraf se aao , albatta naiki yeh hai ke koi shakhs taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aao .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1803
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" نزلت هذه الآية فينا كانت الانصار إذا حجوا فجاءوا لم يدخلوا من قبل ابواب بيوتهم ولكن من ظهورها، فجاء رجل من الانصار فدخل من قبل بابه فكانه عير بذلك، فنزلت: وليس البر بان تاتوا البيوت من ظهورها ولكن البر من اتقى واتوا البيوت من ابوابها سورة البقرة آية 189".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Ishaq ne ke mein ne Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne kaha ke ye ayat hamare bare mein nazil hui. Ansar jab Hajj ke liye aate to (ihram ke baad) gharon mein darwazon se nahi jate balkay diwaron se kood kar (ghar ke andar) dakhil hua karte thay phir (Islam lane ke baad) ek Ansari shakhs aya aur darwaze se ghar mein dakhil ho gaya is par logon ne lanat malamat ki to ye wahy nazil hui ke ”ye koi naiki nahi hai ke gharon mein peeche se (diwaron par charh kar) ao balkay naik wo shakhs hai jo taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aya karo.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة