الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب أين ركز النبى صلى الله عليه وسلم الراية يوم الفتح:
Bab: Fath-e-Makkah ke din Nabi Karim ﷺ ne jhanda kahan gaara tha?
Show diacritics
Hadith Number: 4282
حدثنا سليمان بن عبد الرحمن، حدثنا سعدان بن يحيى، حدثنا محمد بن ابي حفصة، عن الزهري، عن علي بن حسين، عن عمرو بن عثمان، عن اسامة بن زيد، انه قال زمن الفتح: يا رسول الله، اين تنزل غدا؟ قال النبي صلى الله عليه وسلم:" وهل ترك لنا عقيل من منزل؟"
Hum se Sulayman bin Abdur Rahman ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sadan bin Yahya ne byaan kiya ‘ kaha hum se Muhammad bin Abi Hafsah ne byaan kiya ‘ kaha un se Zuhri ne ‘ un se Zayn al-Aabideen Ali bin Husain ne ‘ un se Amr bin Usman ne aur un se Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke safar mein unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se poocha: ya Rasool Allah! Kal (Makkah mein) Aap kahan qiyam farmayen ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hamare liye Aqeel ne koi ghar hi kahan chhora hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1588
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، عن علي بن حسين، عن عمرو بن عثمان، عن اسامة بن زيدرضي الله عنهما، انه قال:" يا رسول الله، اين تنزل في دارك بمكة؟ , فقال: وهل ترك عقيل من رباع او دور، وكان عقيل ورث ابا طالب هو وطالب، ولم يرثه جعفر ولا علي رضي الله عنهما شيئا لانهما كانا مسلمين، وكان عقيل وطالب كافرين، فكان عمر بن الخطاب رضي الله عنه، يقول: لا يرث المؤمن الكافر، قال ابن شهاب: وكانوا يتاولون قول الله تعالى: إن الذين آمنوا وهاجروا وجاهدوا باموالهم وانفسهم في سبيل الله والذين آووا ونصروا اولئك بعضهم اولياء بعض سورة الانفال آية 72".
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Abdullah bin Wahab ne khabar di , unhein Yunus ne , unhein Ibn Shihab ne , unhein Ali bin Husain ne , unhein Amru bin Uthman ne aur unhein Usama bin Zaid razi Allahu anhuma ne ke unhon ne poocha Ya Rasool Allah! Aap Makka mein kya apne ghar mein qiyam farma-yeinge . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Aqeel ne hamare liye muhalla ya makaan chhora hi kab hai . (Sab baich khoch kar barabar kar diye) Aqeel aur Talib , Abu Talib ke waaris hue thay . Jafar aur Ali razi Allahu anhuma ko wirasat mein kuch nahi mila tha , kyunke yeh dono musalman ho gaye thay aur Aqeel razi Allahu anhu (ibtida mein) aur Talib Islam nahi laye thay . Isi buniyaad par Umar bin Khattab razi Allahu anhu farmaya karte thay ke musalman kafir ka waaris nahi hota . Ibn Shihab ne kaha ke log Allah Ta'ala ke is irshad se daleel lete hain ke ”Jo log imaan laye , hijrat ki aur apne maal aur jaan ke saath Allah ki raah mein jihad kiya aur woh log jinhon ne panah di aur madad ki , wahi ek doosre ke waaris honge .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة