الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الخندق وهى الأحزاب:
Bab: Ghazwah-e-Khandaq ka bayan jis ka doosra naam Ghazwah-e-Ahzab hai.
Show diacritics
Hadith Number: 4109
حدثنا ابو نعيم , حدثنا سفيان , عن ابي إسحاق , عن سليمان بن صرد , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم الاحزاب:" نغزوهم ولا يغزوننا".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan ne bayan kiya ‘ un se Abu Ishaq Sabi'i ne ‘ un se Sulaiman Bin Surad Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Ahzab ke mauqe par (jab kuffar ka lashkar nakam wapas ho gaya) farmaya ke ab hum in se laren ge. Ayinda wo hum par charh kar kabhi na aa saken ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4110
حدثني عبد الله بن محمد , حدثنا يحيى بن آدم , حدثنا إسرائيل , سمعت ابا إسحاق , يقول: سمعت سليمان بن صرد , يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , يقول حين اجلى الاحزاب عنه:" الآن نغزوهم ولا يغزوننا نحن نسير إليهم".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya ‘ kaha hum se Yahya Bin Adam ne bayan kiya ‘ kaha hum se Israil Bin Yunus ne bayan kiya ‘ unhon ne Abu Ishaq se suna ‘ unhon ne bayan kiya ke mein ne Sulaiman Bin Surad Radi Allahu Anhu se suna ‘ unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ‘ jab Arab ke qabail (jo Ghazwa Khandaq ke mauqe par Madina charh kar aaye thay) nakam wapas ho gaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ab hum in se jung karen ge ‘ wo hum par charh kar na aa saken ge balkey hum hi in par fauj kashi kiya karen ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة