الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب حب الأنصار:
Bab: Ansar se mohabbat rakhne ka bayan.
Hadith Number: 3783
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , او قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الانصار لا يحبهم إلا مؤمن، ولا يبغضهم إلا منافق، فمن احبهم احبه الله، ومن ابغضهم ابغضه الله".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, mujhe Adi Bin Sabit ne khabar di, kaha ke mein ne Bara Radi Allahu Anhu se suna wo kehte thay ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ya yun bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ansar se sirf momin hi mohabbat rakhe ga aur un se sirf munafiq hi bughz rakhe ga. Pas jo shakhs un se mohabbat kare us se Allah mohabbat kare ga aur jo un se bughz rakhe ga us se Allah Ta'ala us se bughz rakhe ga (maloom hua ke Ansar ki mohabbat nishan-e-iman hai aur un se dushmani rakhna be iman logon ka kaam hai)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 17
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني عبد الله بن عبد الله بن جبر، قال: سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" آية الإيمان حب الانصار، وآية النفاق بغض الانصار".
Hum se is Hadees ko Abul Waleed ne bayan kiya, un se Sho’bah ne, unhein Abdullah bin Abdullah bin Jabr ne khabar di, woh kehte hain ke hum ne Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se is ko suna, woh Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ansaar se mohabbat rakhna imaan ki nishaani hai aur ansaar se keena rakhna nifaaq ki nishaani hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3784
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا شعبة، عن عبد الله بن عبد الله بن جبر، عن انس بن مالك رضي الله , عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" آية الإيمان حب الانصار، وآية النفاق بغض الانصار".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Jubair ne kaha aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Iman ki nishani Ansar se mohabbat rakhna hai aur nifaq ki nishani Ansar se bughz rakhna hai. "
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة