الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: لو كنت متخذا خليلا :
Bab: Nabi Karim ﷺ ka ye farmana ke agar mein kisi ko jaani dost banata to Abu Bakr ko banata.
Hadith Number: 3660
حدثني احمد بن ابي الطيب، حدثنا إسماعيل بن مجالد، حدثنا بيان بن بشر، عن وبرة بن عبد الرحمن، عن همام، قال: سمعت عمارا، يقول:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم وما معه إلا خمسة اعبد وامراتان وابو بكر".
Hum se Ahmad bin Abi Tayyib ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Abi Mujalid ne bayan kiya, un se Bayan bin Bishr ne kaha, un se Wabarah bin Abdur Rahman ne, un se Hammam ne bayan kiya ke mein ne Ammar Radi Allahu Anhu se suna, woh bayan karte thay ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko is waqt dekha hai jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sath (Islam lane walon mein sirf) panch ghulam, do aurton aur Abu Bakr Radi Allahu Anhum ke siwa aur koi na tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3857
حدثني عبد الله بن حماد الآملي، قال: حدثني يحيى بن معين، حدثنا إسماعيل بن مجالد، عن بيان، عن وبرة، عن همام بن الحارث، قال: قال عمار بن ياسر:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم وما معه إلا خمسة اعبد وامراتان وابو بكر".
Mujh se Abdullah Bin Hammad Aamuli ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yahya Bin Maeen ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Mujalid ne bayan kiya, un se Bayan ne, un se Wabarrah ne un se Hammam Bin Haris ne bayan kiya ke Ammar Bin Yasir Radi Allahu Anhuma ne kaha ke mein ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko is halat mein bhi dekha hai jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath paanch ghulam, do aurton aur Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhum ke siwa aur koi (musalman) nahi tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة