الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب علامات النبوة فى الإسلام:
Bab: Nabi Karim ﷺ ke mu’jizaat yani nubuwwat ki nishaniyon ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3607
حدثني محمد بن المثنى، قال: حدثني يحيى بن سعيد، عن إسماعيل، حدثني قيس، عن حذيفة رضي الله عنه، قال:" تعلم اصحابي الخير وتعلمت الشر".
Hum se Muhammad bin Muthanna ne bayan kiya, kaha mujh se Yahya bin Sa'id ne, un se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Qais ne bayan kiya, un se Hudhaifah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mere sathiyon ne (yani Sahaba Radi Allahu Anhum ne) to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se bhalayi ke halat seekhe aur mein ne burayi ke halat daryaft kiye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3606
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا الوليد، قال: حدثني ابن جابر، قال: حدثني بسر بن عبيد الله الحضرمي، قال: حدثني ابو إدريس الخولاني، انه سمع حذيفة بن اليمان، يقول: كان الناس يسالون رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الخير وكنت اساله عن الشر مخافة ان يدركني، فقلت: يا رسول الله إنا كنا في جاهلية وشر فجاءنا الله بهذا الخير فهل بعد هذا الخير من شر، قال: نعم، قلت: وهل بعد ذلك الشر من خير، قال: نعم وفيه دخن، قلت: وما دخنه، قال: قوم يهدون بغير هديي تعرف منهم وتنكر، قلت: فهل بعد ذلك الخير من شر، قال: نعم دعاة إلى ابواب جهنم من اجابهم إليها قذفوه فيها، قلت: يا رسول الله صفهم لنا، فقال: هم من جلدتنا ويتكلمون بالسنتنا، قلت: فما تامرني إن ادركني ذلك، قال: تلزم جماعة المسلمين وإمامهم، قلت: فإن لم يكن لهم جماعة ولا إمام، قال: فاعتزل تلك الفرق كلها ولو ان تعض باصل شجرة حتى يدركك الموت وانت على ذلك".
Hum se Yahya bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se Waleed ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Jabir ne, kaha ke mujh se Busr bin Ubaidullah Hadrami ne, kaha ke mujh se Abu Idrees Khaulani ne bayan kiya, unhon ne Hudhaifah bin Yaman Radi Allahu Anhu se suna, woh bayan karte thay ke doosre Sahaba Kiram to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se khair ke mutalliq sawal kiya karte thay lekin mein shar ke bare mein poochta tha is khouf se ke kahin mein un mein na phans jaun. To mein ne ek martaba Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya: Ya Rasul Allah! Hum jahiliyat aur shar ke zamane mein thay. Phir Allah Ta'ala ne humein yeh khair-o-barkat (Islam ki) ata farmayi, ab kya is khair ke baad phir shar ka koi zamana aayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke haan, mein ne sawal kiya, aur is shar ke baad phir khair ka koi zamana aayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke haan, lekin is khair par kuch dhuwan hoga. Mein ne arz kiya woh dhuwan kya hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab diya ke aise log paida honge jo meri sunnat aur tariqe ke alawa doosre tariqe ikhtiyar karein gay. Un mein koi baat acchi hogi koi buri. Mein ne sawal kiya: Kya is khair ke baad phir shar ka koi zamana aayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke haan, Jahannum ke darwazon ki taraf bulane wale paida honge, jo un ki baat qubool karega ise woh Jahannum mein jhonk dein gay. Mein ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Un ke ausaf bhi bayan farma dijiye. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke woh log hamari hi qoum-o-mazhab ke honge. Hamari hi zaban bolein gay. Mein ne arz kiya, phir agar mein in logon ka zamana paun to mere liye Aap ka hukm kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke Musalmanon ki jama'at aur un ke Imam ko lazim pakarna, mein ne arz kiya agar Musalmanon ki koi jama'at na ho aur na un ka koi Imam ho. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke phir in tamam firqon se apne ko alag rakhna. Agarchay tujhe is ke liye kisi darakht ki jar chabani pare, yahan tak ke teri maut aa jaye aur tu isi halat par ho (to yeh tere haq mein un ki suhbat mein rehne se behtar hoga).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة