الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب ما جاء فى أسماء رسول الله صلى الله عليه وسلم:
Bab: Rasoolullah ﷺ ke namon ka bayan.
Hadith Number: 3532
حدثني إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني معن، عن مالك، عن ابن شهاب، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لي خمسة اسماء انا محمد واحمد وانا الماحي الذي يمحو الله بي الكفر وانا الحاشر الذي يحشر الناس على قدمي وانا العاقب.
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Maan ne kaha, un se Imam Malik ne, un se Ibn Shihab ne, un se Muhammad Bin Jubair Bin Mut-im ne aur un se un ke walid (Jubair Bin Mut-im (Radi Allahu Anhu)) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mere panch naam hain. Mein Muhammad, Ahmad aur Maahi hoon (yani mitane wala hoon) ke Allah Ta'ala mere zariya kufr ko mitaye ga aur mein Hashir hoon ke tamam insanon ka (qiyamat ke din) mere baad hashar hoga aur mein Aaqib hoon yani Khatam-un-Nabiyyin hoon. Mere baad koi naya paighambar duniya mein nahi aaye ga
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4896
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" إن لي اسماء انا محمد، وانا احمد، وانا الماحي الذي يمحو الله بي الكفر، وانا الحاشر الذي يحشر الناس على قدمي، وانا العاقب".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di aur un se Zuhri ne byaan kiya kaha hum ko Muhammad bin Jubayr bin Mut'im ne khabar di aur un se un ke walid Jubayr bin Mut'im razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke mere kai naam hain. Main Muhammad hoon, main Ahmad hoon, main Maahi hoon ke jis ke zariye Allah Ta'ala kufr ko mita de ga aur main Haashir hoon ke Allah Ta'ala sab ko hashr mein mere baad jama kare ga aur main Aaqib hoon. Yani sab paighambaron ke baad duniya mein aane wala hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة