الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب ابن أخت القوم ومولى القوم منهم:
Bab: Kisi qaum ka bhanja ya azaad kiya hua ghulam bhi usi qaum mein dakhil hota hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3528
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: دعا النبي صلى الله عليه وسلم الانصار، فقال:" هل فيكم احد من غيركم؟، قالوا: لا إلا ابن اخت لنا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ابن اخت القوم منهم".
Hum se Suleman Bin Harb ne bayan kiya, hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Ansar ko khass taur se ek martaba bulaya, phir un se poocha kya tum logon mein koi aisa shakhs bhi rehta hai jis ka talluq tumhare qabile se na ho? Unhon ne arz kiya ke sirf hamara ek bhanja aisa hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke bhanja bhi isi qoum mein dakhil hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6762
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ابن اخت القوم منهم او من انفسهم".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kisi gharane ka bhanja is ka ek fard hai .“ ( «minhum» ya «min anfusihim» ke alfaz farmaye) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة