الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قوله تعالى: {إذ قالت الملائكة يا مريم} إلى قوله: {فإنما يقول له كن فيكون} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Aal-e-Imran mein) farmana“Jab farishton ne kaha Ay Maryam!”se ayat «fa innama yaqoolu lahu kun fa yakoon» tak.
Hadith Number: 3433
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، قال: سمعت مرة الهمداني يحدث، عن ابي موسى الاشعري رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" فضل عائشة على النساء كفضل الثريد على سائر الطعام كمل من الرجال كثير ولم يكمل من النساء إلا مريم بنت عمران وآسية امراة فرعون".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amr Bin Murrah ne unhon ne kaha hum ke mein ne Murrah Hamdani se suna. Wo Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) se bayan karte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Auraton par Aisha ki fazeelat aise hai jaise tamam khanon par thareed ki. Mardon mein se to bahut se kamil ho guzre hain lekin auraton mein Maryam Bint-e-Imran aur Firaun ki biwi Asiya ke siwa aur koi kamil paida nahi hui."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3411
حدثنا يحيى بن جعفر، حدثنا وكيع، عن شعبة، عن عمرو بن مرة، عن مرة الهمداني، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كمل من الرجال كثير ولم يكمل من النساء إلا آسية امراة فرعون ومريم بنت عمران، وإن فضل عائشة على النساء كفضل الثريد على سائر الطعام".
Hum se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Wakee ne bayan kiya un se Shuba ne bayan kiya un se Amr Bin Murrah ne un se Murrah Hamdani ne aur un se Abu Musa (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mardon mein to bahut se kamil log uthe lekin auraton mein Firaun ki biwi Asiya aur Maryam Bint-e-Imran (Alaihimas Salam) ke siwa aur koi kamil nahi paida hui han auraton par Aisha (Radi Allahu Anha) ki fazeelat aisi hai jaise tamam khanon par thareed ki fazeelat hai."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة