الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله عز وجل: {وهل أتاك حديث موسى إذ رأى نارا} إلى قوله: {بالوادي المقدس طوى} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Taha mein) farman farmana“Ay Nabi tu ne Musa ka qissa suna hai jab unhon ne aag dekhi”aakhir ayat «bil-wadil muqaddas Tuwa» tak.
Hadith Number: 3393
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، عن مالك بن صعصعة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم حدثهم عن ليلة اسري به حتى اتى السماء الخامسة فإذا هارون، قال: هذا هارون فسلم عليه فسلمت عليه فرد، ثم قال: مرحبا بالاخ الصالح والنبي الصالح"، تابعه ثابت وعباد بن ابي علي، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hadbah Bin Khalid ne bayan kiya kaha hum se Hammam ne bayan kiya un se Qatada ne bayan kiya un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Malik Bin Sa'sa'ah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se is raat ke mutaliq bayan kiya jis mein aap ko Meraj hua ke jab aap panchvein aasman par tashreef le gaye to wahan Harun (Alaihis Salam) se mile. Jibrail (Alaihis Salam) ne bataya ke ye Harun (Alaihis Salam) hain unhein salam kijiye. Mein ne salam kiya to unhon ne jawab dete hue farmaya: Khush amdeed saleh bhai aur saleh Nabi. Is hadees ko Qatada ke sath Sabit Bunani aur Abbad Bin Abi Ali ne bhi Anas (Radi Allahu Anhu) se unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3207
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، عن قتادة، وقال لي خليفة، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد وهشام، قالا: حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن مالك بن صعصعة رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بينا انا عند البيت بين النائم واليقظان، وذكر بين الرجلين فاتيت بطست من ذهب ملئ حكمة وإيمانا فشق من النحر إلى مراق البطن، ثم غسل البطن بماء زمزم، ثم ملئ حكمة وإيمانا واتيت بدابة ابيض دون البغل، وفوق الحمار البراق فانطلقت مع جبريل حتى اتينا السماء الدنيا، قيل: من هذا؟، قال: جبريل، قيل: من معك؟، قيل: محمد، قيل: وقد ارسل إليه، قال: نعم، قيل: مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت على آدم فسلمت عليه، فقال: مرحبا بك من ابن ونبي، فاتينا السماء الثانية، قيل: من هذا؟، قال: جبريل، قيل: من معك؟، قال: محمد صلى الله عليه وسلم، قيل: ارسل إليه، قال: نعم، قيل: مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت على عيسى ويحيى، فقالا: مرحبا بك من اخ ونبي، فاتينا السماء الثالثة، قيل: من هذا؟، قيل: جبريل، قيل: من معك؟، قيل: محمد، قيل: وقد ارسل إليه، قال: نعم، قيل مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت يوسف فسلمت عليه، قال: مرحبا بك من اخ ونبي، فاتينا السماء الرابعة، قيل: من هذا؟، قال: جبريل، قيل: من معك؟، قيل: محمد صلى الله عليه وسلم، قيل: وقد ارسل إليه، قيل: نعم، قيل: مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت على إدريس فسلمت عليه، فقال: مرحبا بك من اخ ونبي، فاتينا السماء الخامسة، قيل: من هذا؟، قال: جبريل، قيل: ومن معك؟، قيل: محمد صلى الله عليه وسلم، قيل: وقد ارسل إليه، قال: نعم، قيل: مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتينا على هارون فسلمت عليه، فقال: مرحبا بك من اخ ونبي، فاتينا على السماء السادسة، قيل: من هذا؟، قيل: جبريل، قيل: من معك؟، قيل: محمد صلى الله عليه وسلم، قيل: وقد ارسل إليه مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت على موسى فسلمت عليه، فقال: مرحبا بك من اخ ونبي فلما جاوزت بكى، فقيل: ما ابكاك؟، قال: يا رب هذا الغلام الذي بعث بعدي يدخل الجنة من امته افضل مما يدخل من امتي، فاتينا السماء السابعة، قيل: من هذا؟، قيل: جبريل، قيل: من معك؟، قيل: محمد، قيل: وقد ارسل إليه مرحبا به ولنعم المجيء جاء، فاتيت على إبراهيم فسلمت عليه، فقال: مرحبا بك من ابن ونبي فرفع لي البيت المعمور، فسالت جبريل، فقال: هذا البيت المعمور يصلي فيه كل يوم سبعون الف ملك إذا خرجوا لم يعودوا إليه آخر ما عليهم ورفعت لي سدرة المنتهى، فإذا نبقها كانه قلال هجر وورقها كانه آذان الفيول في اصلها اربعة انهار نهران باطنان ونهران ظاهران، فسالت جبريل، فقال: اما الباطنان ففي الجنة واما الظاهران النيل والفرات، ثم فرضت علي خمسون صلاة فاقبلت حتى جئت موسى، فقال: ما صنعت، قلت: فرضت علي خمسون صلاة، قال: انا اعلم بالناس منك عالجت بني إسرائيل اشد المعالجة، وإن امتك لا تطيق فارجع إلى ربك فسله فرجعت فسالته فجعلها اربعين، ثم مثله، ثم ثلاثين، ثم مثله فجعل عشرين، ثم مثله فجعل عشرا فاتيت موسى، فقال: مثله فجعلها خمسا فاتيت موسى، فقال: ما صنعت، قلت: جعلها خمسا، فقال: مثله، قلت: سلمت بخير فنودي إني قد امضيت فريضتي وخففت، عن عبادي واجزي الحسنة عشرا، وقال همام، عن قتادة، عن الحسن عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم في البيت المعمور.
Hum se Hadba Bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, kaha hum se Said Bin Abi Arubah aur Hisham Dastuwai ne bayan kiya, kaha hum se Qatada ne bayan kiya, kaha hum se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya aur un se Malik Bin Sasah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mein ek dafa Bait Allah ke qareeb neend aur bidaari ki darmiyani halat mein tha, phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do aadmiyon ke darmiyan laite hue ek teesre aadmi ka zikr farmaya. Is ke baad mere paas sone ka ek tasht laya gaya, jo hikmat aur iman se bharapoor tha. Mere seene ko pait ke aakhri hisse tak chaak kiya gaya. Phir mera pait Zamzam ke pani se dhoya gaya aur ise hikmat aur iman se bhar diya gaya. Is ke baad mere paas ek sawari layi gayi. Safaid, khachar se chhoti aur gadhe se badi yaani Buraq, mein is par sawar ho kar Jibrail Alaihis Salam ke sath chala. Jab hum aasman dunya par pahunche to pucha gaya ke ye kaun sahab hain? Unhon ne kaha ke Jibrail. Pucha gaya ke Aap ke sath aur kaun sahab aaye hain? Unhon ne bataya ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) pucha gaya ke kya unhein bulane ke liye Aap ko bheja gaya tha? Unhon ne kaha ke haan, is par jawab aaya ke acchi kushada jagah aane wale kya hi mubarak hain, phir mein Adam Alaihis Salam ki khidmat mein hazir hua. Aur unhein salam kiya. Unhon ne farmaya, aao pyare bete aur acche Nabi. Is ke baad hum doosre aasman par pahunche yahan bhi wahi sawal hua. Kaun sahab hain? Kaha Jibrail, sawal hua, Aap ke sath koi aur sahab bhi aaye hain? Kaha ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam, sawal hua unhein bulane ke liye Aap ko bheja gaya tha? Kaha ke haan. Ab idhar se jawab aaya, acchi kushada jagah aaye hain, aane wale kya hi mubarak hain. Is ke baad mein Isa aur Yahya Alaihis Salam se mila, in hazrat ne bhi khush-aamadeed, marhaba kaha apne bhai aur Nabi ko. Phir hum teesre aasman par aaye yahan bhi sawal hua kaun sahab hain? Jawab mila Jibrail, sawal hua, Aap ke sath bhi koi hai? Kaha ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam, sawal hua, unhein bulane ke liye Aap ko bheja gaya tha? Unhon ne bataya ke haan, ab awaz aayi acchi kushada jagah aaye aane wale kya hi salih hain, yahan Yusuf Alaihis Salam se mein mila aur unhein salam kiya, unhon ne farmaya, acchi kushada jagah aaye ho mere bhai aur Nabi, yahan se hum chauthe aasman par aaye is par bhi yahi sawal hua, kaun sahab, jawab diya ke Jibrail, sawal hua, Aap ke sath aur kaun sahab hain? Kaha ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam hain. Poocha kya unhein lane ke liye Aap ko bheja gaya tha, jawab diya ke haan, phir awaz aayi, acchi kushada jagah aaye kya hi acche aane wale hain. Yahan mein Idrees Alaihis Salam se mila aur salam kiya, unhon ne farmaya, marhaba, bhai aur Nabi. Yahan se hum panchwein aasman par aaye. Yahan bhi sawal hua ke kaun sahab? Jawab diya ke Jibrail, poocha gaya aur Aap ke sath aur kaun sahab aaye hain? Jawab diya ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam, poocha gaya, unhein bulane ke liye bheja gaya tha? Kaha ke haan, awaz aayi, acchi kushada jagah aaye hain. Aane wale kya hi acche hain. Yahan hum Haroon Alaihis Salam se mile aur mein ne unhein salam kiya. Unhon ne farmaya, mubarak mere bhai aur Nabi, tum acchi kushada jagah aaye, yahan se hum chhete aasman par aaye, yahan bhi sawal hua, kaun sahab? Jawab diya ke Jibrail, poocha gaya, Aap ke sath aur bhi koi hain? Kaha ke haan Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam hain. Poocha gaya, kya unhein bulaya gaya tha kaha haan, kaha acchi kushada jagah aaye hain, acche aane wale hain. Yahan mein Musa Alaihis Salam se mila aur unhein salam kiya. Unhon ne farmaya, mere bhai aur Nabi acchi kushada jagah aaye, jab mein wahan se aage badhne laga to wo rone lage kisi ne pucha buzurgwar aap kyun ro rahe hain? Unhon ne farmaya ke Ae Allah! Ye nau-jawan jise mere baad nubuwwat di gayi, is ki ummat mein se Jannat mein dakhil hone wale, meri ummat ke Jannat mein dakhil hone wale logon se zyada honge. Is ke baad hum saatwein aasman par aaye yahan bhi sawal hua ke kaun sahab hain? Jawab diya ke Jibrail, sawal hua ke koi sahab Aap ke sath bhi hain? Jawab diya ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam poocha, unhein bulane ke liye Aap ko bheja gaya tha? Marhaba, acche aane wale. Yahan mein Ibrahim Alaihis Salam se mila aur unhein salam kiya. Unhon ne farmaya mere bete aur Nabi, mubarak, acchi kushada jagah aaye ho, is ke baad mujhe Bait-ul-Mamoor dikhaya gaya. Mein ne Jibrail Alaihis Salam se is ke bare mein pucha, to unhon ne batlaya ke ye Bait-ul-Mamoor hai. Is mein sattar hazar farishte rozana namaz parhte hain. Aur ek martaba parh kar jo is se nikal jata hai to phir kabhi dakhil nahi hota. Aur mujhe Sidrat-ul-Muntaha bhi dikhaya gaya, is ke phal aise thay jaise maqam-e-Hajar ke matke hote hain aur patte aise thay jaise hathi ke kaan, is ki jarr se char nahrain nikalti theen, do nahrain to batini theen aur do zahiri, mein ne Jibrail Alaihis Salam se pucha to unhon ne bataya ke jo do batini nahrain hain wo to Jannat mein hain aur do zahiri nahrain dunya mein Neel aur Furat hain, is ke baad mujh par pachas waqt ki namazain farz ki gayeen. Mein jab wapas hua aur Musa Alaihis Salam se mila to unhon ne pucha ke kya kar ke aaye ho? Mein ne arz kiya ke pachas namazain mujh par farz ki gayi hain. Unhon ne farmaya ke insanon ko mein tum se zyada janta hoon, Bani Israil ka mujhe bura tajruba ho chuka hai. Tumhari ummat bhi itni namazon ki taqat nahi rakhti, is liye apne Rabb ki bargah mein dobara haziri do, aur kuch takhfeef ki darkhwast karo, mein wapas hua to Allah Ta'ala ne namazain chalis waqt ki kar deen. Phir bhi Musa Alaihis Salam apni baat (yaani takhfeef karane) par misar rahe. Is martaba tees waqt ki reh gayeen. Phir unhon ne wahi farmaya aur is martaba bargah-e-Rabb-ul-Izzat mein meri darkhwast ki peshi par Allah Ta'ala ne unhein das kar diya. Mein jab Musa Alaihis Salam ke paas aaya to ab bhi unhon ne kam karane ke liye apna israr jari rakha. Aur is martaba Allah Ta'ala ne paanch waqt ki kar deen. Ab Musa Alaihis Salam se mila, to unhon ne phir daryaft farmaya ke kya hua? Mein ne kaha ke Allah Ta'ala ne paanch kar di hain. Is martaba bhi unhon ne kam karane ka israr kiya. Mein ne kaha ke ab to mein Allah ke supard kar chuka. Phir awaz aayi. Mein ne apna fareeza (paanch namazon ka) jari kar diya. Apne bandon par takhfeef kar chuka aur mein ek naiki ka badla das guna deta hoon. Aur Hammam ne kaha, un se Qatada ne kaha, un se Hasan ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Bait-ul-Mamoor ke bare mein alag riwayat ki hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة