الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب مسح الغبار عن الناس فى السبيل:
Bab: Allah ke raste mein jin logon par gard pari ho un ki gard poonchhna.
Show diacritics
Hadith Number: 2812
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، ان ابن عباس قال له، ولعلي بن عبد الله: ائتيا ابا سعيدفاسمعا من حديثه فاتيناه، وهو واخوه في حائط لهما يسقيانه فلما رآنا جاء فاحتبى وجلس، فقال: كنا ننقل لبن المسجد لبنة لبنة، وكان عمار ينقل لبنتين لبنتين، فمر به النبي صلى الله عليه وسلم، ومسح عن راسه الغبار، وقال:" ويح عمار تقتله الفئة الباغية عمار يدعوهم إلى الله، ويدعونه إلى النار".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Abdul Wahab Saqafi ne khabar di, kaha hum se Khalid ne bayan kiya Akramah se ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne un se aur (apne sahibzade) Ali Bin Abdullah se farmaya tum donon Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein jao aur un se ahadees-e-nabwi suno. Chunancha hum hazir hue, is waqt Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) apne (razayi) bhai ke sath bagh mein thay aur bagh ko pani de rahe thay, jab Aap ne humein dekha to (hamare paas) tashreef laye aur (chadar odh kar) got maar kar baith gaye, is ke baad bayan farmaya hum Masjid-e-Nabwi ki eintein (hijrat-e-nabwi ke baad tameer masjid ke liye) ek ek kar ke dho rahe thay lekin Ammar (Radi Allahu Anhu) do do eintein la rahe thay, itne mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) idhar se guzre aur un ke sar se ghubar ko saaf kiya phir farmaya afsos! Ammar ko ek baghi jamaat mare gi, ye to unhein Allah ki (ataat ki) taraf dawat de raha ho ga lekin wo use Jahannam ki taraf bula rahe honge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 447
حدثنا مسدد، قال: حدثنا عبد العزيز بن مختار، قال: حدثنا خالد الحذاء، عن عكرمة، قال لي ابن عباس ولابنه علي: انطلقا إلى ابي سعيد فاسمعا من حديثه، فانطلقنا فإذا هو في حائط يصلحه فاخذ رداءه فاحتبى، ثم انشا يحدثنا حتى اتى ذكر بناء المسجد، فقال: كنا نحمل لبنة لبنة، وعمار لبنتين لبنتين فرآه النبي صلى الله عليه وسلم فينفض التراب عنه، ويقول:" ويح عمار تقتله الفئة الباغية، يدعوهم إلى الجنة ويدعونه إلى النار"، قال: يقول عمار: اعوذ بالله من الفتن.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya , kaha ke hum se Khalid Haza ne Ikrama se , unhon ne bayan kiya ke mujh se aur apne sahbzaday Ali se Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne kaha ke Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ki khidmat mein jao aur un ki ahadees suno . Hum gaye . Dekha ke Abu Saeed raziyallahu anhu apne bagh ko durust kar rahe thay . Hum ko dekh kar aap ne apni chadar sambhali aur got maar kar baith gaye . Phir hum se hadees bayan karne lage . Jab masjid Nabwi ke banane ka zikr aaya to aap ne bataya ke hum to masjid ke banane mein hissa lete waqt ek ek eent uthate . Lekin Ammar do do eenten utha rahe thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne unhein dekha to un ke badan se mitti jharne lage aur farmaya , afsos! Ammar ko ek baghi jamaat qatl kare gi . Jisay Ammar jannat ki dawat denge aur woh jamaat Ammar ko jahannam ki dawat de rahi ho gi . Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ne bayan kiya ke Ammar raziyallahu anhu kehte thay ke mein fitnon se Allah ki panah mangta hun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة