الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوصايا
Kitab: Wasiyaton ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {إن الذين يأكلون أموال اليتامى ظلما إنما يأكلون فى بطونهم نارا وسيصلون سعيرا} :
Bab: Allah Taala ka irshad (Surah Nisa mein) ke“beshak woh log jo yateemon ka maal zulm ke sath kha jate hain, woh apne pet mein aag bharte hain, woh zaroor dahakti hui aag hi mein jhonke diye jayen ge“.
Hadith Number: 2766
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان بن بلال، عن ثور بن زيد المدني، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اجتنبوا السبع الموبقات، قالوا: يا رسول الله، وما هن، قال: الشرك بالله، والسحر، وقتل النفس التي حرم الله إلا بالحق، واكل الربا، واكل مال اليتيم، والتولي يوم الزحف، وقذف المحصنات المؤمنات الغافلات".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya ' unhon ne kaha ke mujh se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya ' un se Sawr Bin Zaid Madni ne bayan kiya ' un se Abu Ghais ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Saat gunahon se jo tabah kar dene wale hain bachte raho." Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne poocha ya Rasul Allah! Wo kaun se gunah hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke sath kisi ko shareek thherana ' jadoo karna ' kisi ki nahaq jaan lena ke jise Allah Ta'ala ne haram qarar diya hai ' sood khana ' yateem ka maal khana ' larayi mein se bhag jana ' paak daman bholi bhali iman wali aurton par tuhmat lagana."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5764
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان، عن ثور بن زيد، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اجتنبوا الموبقات الشرك بالله والسحر".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya, kaha mujh se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya, in se Sawr bin Zayd ne, in se Abu al-Ghais ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tabah kar dene wali cheez Allah ke saath shirk karna hai is se bacho aur jadoo karne karaane se bhi bacho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6857
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا سليمان، عن ثور بن زيد، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اجتنبوا السبع الموبقات، قالوا: يا رسول الله، وما هن؟ قال: الشرك بالله، والسحر، وقتل النفس التي حرم الله إلا بالحق، واكل الربا، واكل مال اليتيم، والتولي يوم الزحف، وقذف المحصنات المؤمنات الغافلات".
Hum se Abd-ul-Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya , in se Sawr bin Zaid ne bayan kiya , in se Abu al-Ghais Salim ne bayan kiya , aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”saat muhlik gunahon se bacho . Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Woh kiya kiya hain ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke saath shirk karna , jadoo karna , nahaq kisi ki jaan lena jo Allah ne haram kiya hai , sood khana , yateem ka maal khana , jang ke din peeth pherna aur paak-daman ghafil momin auraton ko tuhmat lagana .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة