الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب إذا هدم حائطا فليبن مثله:
Bab: Agar kisi ne kisi ki deewar gira di to ise waisi hi banwani ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: 2482
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا جرير بن حازم، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان رجل في بني إسرائيل يقال له جريج يصلي، فجاءته امه فدعته، فابى ان يجيبها، فقال: اجيبها او اصلي، ثم اتته، فقالت: اللهم لا تمته حتى تريه وجوه المومسات، وكان جريج في صومعته، فقالت امراة: لافتنن جريجا، فتعرضت له فكلمته، فابى، فاتت راعيا، فامكنته من نفسها، فولدت غلاما، فقالت: هو من جريج، فاتوه وكسروا صومعته فانزلوه وسبوه، فتوضا وصلى، ثم اتى الغلام، فقال: من ابوك يا غلام؟ قال: الراعي، قالوا: نبني صومعتك من ذهب، قال: لا، إلا من طين".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Hazim ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sirin ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Bani Israel mein ek sahab thay, jin ka naam Juraij tha. Wo namaz parh rahe thay ke un ki walda aaein aur unhein pukara. Unhon ne jawab nahi diya. Sochte rahe ke jawab doon ya namaz parhoon. Phir wo dubara aaein aur (ghusse mein) bad-dua kar gayein, Ae Allah! ise maut na aaye jab tak kisi badkar aurat ka munh na dekh le. Juraij apne ibadat khane mein rehte thay. Ek aurat ne (jo Juraij ke ibadat khane ke paas apni maweshi charaya karti thi aur fahisha thi) kaha ke Juraij ko fitna mein dale baghair na rahoon gi. Chunanchay wo un ke samne aayi aur guftagu karni chahi, lekin unhon ne munh pher liya. Phir wo ek charwahe ke paas gayi aur apne jism ko us ke qabu mein de diya. Aakhir larka paida hua. Aur is aurat ne ilzam lagaya ke ye Juraij ka larka hai. Qoum ke log Juraij ke yahan aaye aur un ka ibadat khana tor diya. Unhein bahar nikala aur galiyan dein. Lekin Juraij ne wazu kiya aur namaz parh kar is larke ke paas aaye. Unhon ne us se poocha. Bacche! tumhara baap kaun hai? Baccha (Allah ke hukm se) bol para ke charwaha! (Qoum khush ho gayi aur) kaha ke hum aap ke liye sone ka ibadat khana banwa dein. Juraij ne kaha ke mera ghar to mitti hi se bane ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1206
وقال الليث: حدثني جعفر، عن عبد الرحمن بن هرمز , قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: نادت امراة ابنها وهو في صومعة , قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: اللهم لا يموت جريج حتى ينظر في وجوه المياميس، وكانت تاوي إلى صومعته راعية ترعى الغنم فولدت، فقيل لها: ممن هذا الولد؟ قالت: من جريج، نزل من صومعته، قال جريج: اين هذه التي تزعم ان ولدها لي؟ قال: يا بابوس من ابوك؟ قال: راعي الغنم
Aur Layth bin Saad ne kaha ke mujh se Jafar bin Rabeeah ne byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Hurmuz Aaraj ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , (Bani Israeel ki) ek aurat ne apne bete ko pukara , is waqt woh ibadat khane mein tha . Maan ne pukara ke ae Jurayj! Jurayj (pas o pesh mein par gaya aur dil mein) kehne laga ke ae Allah! main ab maan ko dekhoon ya namaaz ko . Phir maan ne pukara: ae Jurayj! (woh ab bhi is pas o pesh mein tha) ke ae Allah! meri maan aur meri namaaz! Maan ne phir pukara: ae Jurayj! (woh ab bhi yehi) soche ja raha tha . Ae Allah! meri maan aur meri namaaz! (aakhir) maan ne tang ho kar bad-dua ki ae Allah! Jurayj ko maut na aaye jab tak woh fahisha aurat ka chehra na dekh le . Jurayj ki ibadat gah ke qareeb ek charane wali aaya karti thi jo bakriyan charati thi . Ittefaq se us ke bacha paida hua . Logon ne poocha ke yeh kis ka bacha hai ? Us ne kaha ke Jurayj ka hai . Woh ek martaba apni ibadat gah se nikal kar mere paas raha tha . Jurayj ne poocha ke woh aurat kaun hai ? Jis ne mujh par tohmat lagayi hai ke us ka bacha mujh se hai . (aurat bache ko le kar aayi to) unhon ne bache se poocha ke bache! tumhara baap kaun ? Bacha bol para ke ek bakri charane wala gadariya mera baap hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة