الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب كسر الصليب وقتل الخنزير:
Bab: Saleeb ka torna aur khanzeer ka maarna.
Hadith Number: 2476
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى ينزل فيكم ابن مريم حكما مقسطا، فيكسر الصليب، ويقتل الخنزير، ويضع الجزية، ويفيض المال حتى لا يقبله احد".
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Saeed Bin Musayyib ne khabar di, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Qiyamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak Ibn Maryam ka nazool ek adil hukmran ki haisiyat se tum mein na ho jaye. Wo saleeb ko tor dein ge, suaron ko qatal kar dein ge aur jizya qabool nahi karein ge. (Is daur mein) mal-o-daulat ki itni kasrat ho jaye gi ke koi qabool nahi kare ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2222
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده ليوشكن ان ينزل فيكم ابن مريم حكما مقسطا، فيكسر الصليب، ويقتل الخنزير، ويضع الجزية، ويفيض المال حتى لا يقبله احد".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Ibn Musayyib ne aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye farmate suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, wo zamana aane wala hai jab Ibn Maryam (Isa Alaihis Salam) tum mein ek adil aur munsif hakim ki haisiyat se utrenge. Wo saleeb ko tor dalenge, sooron ko mar dalenge aur jizyah ko khatam kar denge. Is waqt maal ki itni ziyadati hogi ke koi lene wala na rahega
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3448
حدثنا إسحاق، اخبرنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان سعيد بن المسيب سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده ليوشكن ان ينزل فيكم ابن مريم حكما عدلا فيكسر الصليب ويقتل الخنزير ويضع الجزية ويفيض المال حتى لا يقبله احد حتى تكون السجدة الواحدة خيرا من الدنيا وما فيها ثم، يقول ابو هريرة واقرءوا إن شئتم وإن من اهل الكتاب إلا ليؤمنن به قبل موته ويوم القيامة يكون عليهم شهيدا سورة النساء آية 159".
Hum se Ishaq Bin Rahwayh ne bayan kiya kaha hum ko Yaqub Bin Ibrahim ne khabar di kaha mujh se mere walid ne bayan kiya un se Salih Bin Kaisan ne un se Ibn Shihab ne un se Saeed Bin Musayyib ne aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna unhon ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai wo zamana qareeb hai ke Isa Ibn Maryam (Alaihimas Salam) tumhare darmiyan ek aadil hakim ki haisiyat se nazil hon ge. Wo saleeb ko tor dein ge sooar ko maar dalein ge aur jizya mouqoof kar dein ge. Is waqt maal ki itni kasrat ho jaye gi ke koi ise lene wala nahi mile ga. Is waqt ka ek sajda «duniya wa ma feeha» se barh kar hoga. Phir Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke agar tumhara ji chahe to ye aayat parh lo «wa in min ahlil kitabi illa layu-minanna bihi qabla moutihi wa yaumal qiyamati yakunu alaihim shaheedan» "Aur koi Ahl-e-Kitab aisa nahi hoga jo Isa ki mout se pehle is par iman na laye aur qiyamat ke din wo un par gawah hon ge."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة