الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب لا يمنع جار جاره أن يغرز خشبه فى جداره:
Bab: Koi shakhs apne parosi ko apni deewar mein lakri gaarne se na roke.
Hadith Number: 2463
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يمنع جار جاره ان يغرز خشبه في جداره"، ثم يقول ابو هريرة: ما لي اراكم عنها معرضين، والله لارمين بها بين اكتافكم.
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik (Rahimahullah) ne, un se Ibn Shihab ne, un se Aaraj ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, koi shakhs apne parosi ko apni deewar mein khounti gaarne se na roke. Phir Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) kaha karte thay, ye kya baat hai ke mein tumhe is se munh pherne wala pata hoon. Qasam Allah! is khounti ko tumhare kandhon ke darmiyan gaar donga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5627
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ايوب، قال لنا عكرمة: الا اخبركم باشياء قصار، حدثنا بها ابو هريرة،" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الشرب من فم القربة او السقاء، وان يمنع جاره ان يغرز خشبه في داره".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha hum se Ayub ne bayan kiya ke hum se Ikrimah ne kaha, tumhein main chand chhoti chhoti baatein na bata doon jinhein hamase Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya tha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mashk ke munh se munh laga kar pani peene ki mamanat ki thi aur (is se bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mana farmaya tha ke) koi shakhs apne paros ko apni diwar mein khounti waghaira gaarne se roke.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة