الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الخصومات
Kitab: Nalishon aur jhagron ke bayan mein
باب التقاضي:
Bab: Taqaza karne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2425
حدثنا إسحاق، حدثنا وهب بن جرير بن حازم، اخبرنا شعبة، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:"كنت قينا في الجاهلية، وكان لي على العاص بن وائل دراهم، فاتيته اتقاضاه، فقال: لا اقضيك حتى تكفر بمحمد، فقلت: لا، والله لا اكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم حتى يميتك الله، ثم يبعثك، قال: فدعني حتى اموت، ثم ابعث، فاوتى مالا وولدا، ثم اقضيك، فنزلت افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77 الآية".
Hum se Ishaq Bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha ke hum se Wahb Bin Jarir Bin Hazim ne bayan kiya, unhein Shuba ne khabar di, unhein Aamash ne, unhein Abul Duha ne, unhein Masruq ne, aur un se Khabbab (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein jahiliyat ke zamana mein lohe ka kaam karta tha aur Aas Bin Wail (kafir) par mere kuch rupaye qarz thay. Mein us ke paas taqaza karne gaya to us ne mujh se kaha ke jab tak tu Muhammad ((Sallallahu Alaihi Wasallam)) ka inkar nahi karega mein tera qarz ada nahi karunga. Mein ne kaha hargiz nahi, Allah ki qasam! mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka inkar kabhi nahi kar sakta, yahan tak ke Allah Ta'ala tumhe maare aur phir tum ko uthaye. Wo kehne laga ke phir mujh se bhi taqaza na kar. Mein jab mar ke dobara zinda hoonga to mujhe (doosri zindagi mein) maal aur aulad di jaye gi to tumhara qarz bhi ada kar donga. Is par ye ayat nazil hui «أفرأيت الذي كفر بآياتنا وقال لأوتين مالا وولدا» ”tum ne is shakhs ko dekha jis ne humari aayaton ka inkar kiya aur kaha ke mujhe maal aur aulad zaroor di jaye gi.“ Aakhir ayat tak
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2091
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا في الجاهلية، وكان لي على العاص بن وائل دين فاتيته، اتقاضاه؟ قال: لا، اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقلت: لا اكفر حتى يميتك الله، ثم تبعث، قال: دعني حتى اموت وابعث، فساوتى مالا وولدا فاقضيك، فنزلت: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} سورة مريم آية 77-78".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Muhammad Bin Abi Adi ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Suleiman ne, un se Abu-al-Zuha ne, un se Masrooq ne aur un se Khabbab Bin Art (Radi Allahu Anhu) ne ke jahiliyat ke zamana mein mein lohar ka kaam kiya karta tha. Aas Bin Wail (kafir) par mera kuch qarz tha mein ek din is par taqaza karne gaya. Is ne kaha ke jab tak tu Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka inkar nahi kare ga mein tera qarz nahi doon ga. Mein ne jawab diya ke mein Aap ka inkar is waqt tak nahi karoon ga jab tak Allah Ta'ala teri jaan na le le, phir tu dobara utthaya jaye, is ne kaha ke phir mujhe bhi muhlat de ke mein mar jaoon, phir dobara utthaya jaoon aur mujhe mal aur aulad mile is waqt mein bhi tumhara qarz ada kar doon ga. Is par ayat nazil hui «Afara'aytal-ladhee kafara bi-ayatina wa-qala la-ootayanna malan-wa-walada * attala'al-ghaiba amit-takhadha indar-rahmani ahda» ”Kya tum ne is shakhs ko dekha jis ne hamari ayay ko na mana aur kaha (aakhirat mein) mujhe mal aur daulat di jaye gi, kya usay ghaib ki khabar hai ? ya us ne Allah Ta'ala ke han se koi iqrar le liya hai.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة