الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستقراض
Kitab: Qarz lene, ada karne, hajr aur muflisi manzoor karne ke bayan mein
باب مطل الغني ظلم:
Bab: Adaigi mein maldaar ki taraf se taal matol karna zulm hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2400
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الاعلى، عن معمر، عن همام بن منبه اخي وهب بن منبه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" مطل الغني ظلم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Ala ne bayan kiya, un se Maamar ne, un se Hammam Bin Munabbah, Wahb Bin Munabbah ke bhai ne, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, malidar ki taraf se (qarz ki adayigi mein) taal matol karna zulm hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2287
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" مطل الغني ظلم، فإذا اتبع احدكم على ملي فليتبع".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Abuz Zanad ne, unhein Aaraj ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (qarz ada karne mein) maldar ki taraf se taal matol karna zulm hai. Aur agar tum mein se kisi ka qarz kisi maldar par hawala diya jaye to ise qabool kare
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2288
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن ابن ذكوان، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مطل الغني ظلم، ومن اتبع على ملي فليتبع".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, un se Ibn Zakwan ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, maldar ki taraf se (qarz ada karne mein) taal matol karna zulm hai. Aur agar kisi ka qarz kisi maldar ke hawala kiya jaye to wo ise qabool kare
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة