الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المزارعة
Kitab: Kheti bari aur batai ka bayan
باب ما كان من أصحاب النبى صلى الله عليه وسلم يواسي بعضهم بعضا فى الزراعة والثمرة:
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba Kiram kheti baari mein ek doosre ki madad kis tarah karte the.
Hadith Number: 2343
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما، كان يكري مزارعه على عهد النبي صلى الله عليه وسلم، وابي بكر، وعمر، وعثمان، وصدرا من إمارة معاوية.
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ayyub Sakhtiyani ne bayan kiya, un se Nafi ne bayan kiya ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) apne kheton ko Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam), Abu Bakr, Umar, Usman (Radi Allahu Anhum) ke ahad mein aur Muawiyah (Radi Allahu Anhu) ke ibtidayi ahad-e-khilafat mein kiraya par dete thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2345
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:"كنت اعلم في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان الارض تكرى، ثم خشي عبد الله ان يكون النبي صلى الله عليه وسلم قد احدث في ذلك شيئا لم يكن يعلمه، فترك كراء الارض".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamana mein mujhe maloom tha ke zameen ko batayi par diya jata tha. Phir unhein dar hua ke mumkin hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is silsile mein koi nayi hidayat farmayi ho jis ka ilm unhein na hua ho. Chunanche unhon ne (ihtiyatan) zameen ko batayi par dena chhor diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة