الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب إثم من باع حرا:
Bab: Azad shakhs ko bechna kaisa gunah hai?
Show diacritics
Hadith Number: 2227
حدثني بشر بن مرحوم، حدثنا يحيى بن سليم، عن إسماعيل بن امية، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: قال الله:" ثلاثة انا خصمهم يوم القيامة، رجل اعطى بي ثم غدر، ورجل باع حرا فاكل ثمنه، ورجل استاجر اجيرا فاستوفى منه ولم يعط اجره".
Mujh se Bishr Bin Marhoom ne bayan kiya, kaha ke hum se Yahya Bin Saleem ne bayan kiya, un se Ismail Bin Umayyah ne, un se Saeed Bin Abi Saeed ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala ka irshad hai ke teen tarah ke log aise honge jin ka Qiyamat ke din mein mudayi banunga, ek wo shakhs jis ne mere naam par ahad kiya aur wo tor diya, wo shakhs jis ne kisi azad insan ko bech kar is ki qeemat khayi aur wo shakhs jis ne koi mazdoor ujrat par rakkha, us se poori tarah kaam liya, lekin is ki mazdoori nahi di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2270
حدثنا يوسف بن محمد، قال: حدثني يحيى بن سليم، عن إسماعيل بن امية، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: قال الله تعالى:" ثلاثة انا خصمهم يوم القيامة: رجل اعطى بي ثم غدر، ورجل باع حرا فاكل ثمنه، ورجل استاجر اجيرا فاستوفى منه ولم يعطه اجره.
Hum se Yusuf Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yahya Bin Saleem ne bayan kiya, un se Ismail Bin Umayyah ne, un se Saeed Bin Abi Saeed ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne batlaya ke Allah Ta'ala ka farman hai ke teen qism ke log aise hain ke jin ka Qiyamat mein mein khud mudayi banunga. Ek to wo shakhs jis ne mere naam pay ahad kiya, aur phir waada khilafi ki. Doosra wo jis ne kisi azad aadmi ko bech kar is ki qeemat khayi aur teesra wo shakhs jis ne kisi ko mazdoor kiya, phir kaam to us se poora liya, lekin is ki mazdoori na di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة