الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب ما جاء فى غسل البول:
Bab: Peshab ko dhone ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 217
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، قال: حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، قال: حدثني روح بن القاسم، قال: حدثني عطاء بن ابي ميمونة، عن انس بن مالك، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا تبرز لحاجته اتيته بماء فيغسل به".
Hum se Ya’qoob bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ismail bin Ibrahim ne khabar di, kaha mujhe Rooh bin Al-Qasim ne batlaaya, kaha mujh se Ata bin Abi Maimunah ne bayan kiya, woh Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab rafa-e-haajat ke liye bahar tashreef le jaate to main Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas paani laata. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam us se istinja farmaate.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 150
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، قال: حدثنا شعبة، عن ابي معاذ واسمه عطاء بن ابي ميمونة، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا خرج لحاجته اجيء انا وغلام معنا إداوة من ماء، يعني يستنجي به".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne bayan kiya, un se Sho’bah ne Abu Mu’aaz se jin ka naam Ata bin Abi Maimunah tha naql kiya, unhon ne Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se suna, woh kehte the ke jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam rafa-e-haajat ke liye nikalte to main aur ek ladka apne saath paani ka bartan le aate the. Matlab yeh hai ke us paani se Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam tahaarat kiya karte the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة