الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب الوضوء من النوم ومن لم ير من النعسة والنعستين أو الخفقة وضوءا:
Bab: Sone ke baad wudu karne ke bayan mein aur ba’z ulama ke nazdeek ek ya do martaba ki ungh se ya (neend ka) ek jhonka aa jane se wudu nahi tootta.
Hadith Number: 213
حدثنا ابو معمر، قال: حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا نعس احدكم في الصلاة فلينم حتى يعلم ما يقرا".
Hum se Abu Ma’mar ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne, kaha hum se Ayyub ne Abu Qilaabah ke waaste se naql kiya, woh Anas Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jab tum Namaz mein oonghne lago to so jaana chaahiye. Phir us waqt Namaz padhe jab jaan le ke woh kya padh raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 212
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا نعس احدكم وهو يصلي فليرقد حتى يذهب عنه النوم، فإن احدكم إذا صلى وهو ناعس لا يدري لعله يستغفر فيسب نفسه".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha mujh ko Malik ne Hishaam se, unhon ne apne baap se khabar di, unhon ne Aisha Radhiallahu Anha se naql kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jab Namaz padhte waqt tum mein se kisi ko oongh aa jaaye, to chaahiye ke woh so rahe yahan tak ke neend (ka asar) us se khatm ho jaaye. Is liye ke jab tum mein se koi shakhs Namaz padhne lage aur woh oongh raha ho to woh kuch nahi jaanega ke woh (Allah Ta’ala se) maghfirat talab kar raha hai ya apne nafs ko bad-dua de raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة